Header Ads

Breaking News
recent

How to make a Bootable pendrive



Haay dosto support 4 ever me aapka ek baar fir swagat hai aap sabhi ne lapto me cd ar dvd ke madhyam se window install ki hogi . kya aapne kabhi pendrive se window install ki hai yadi nahi to mai aaj aapko window ko pendrive se install karna sikhaunga.



bootable pendrive
Bootable pendrive


Pendrive se window cd aur dvd se 10 guna jaldi install hoti hai. Yadi aap pendrive se window install karna seekhana chahte hai to is post ko dhyan se padhe . laptop me pendrive se window ko install karne ke liye aapko apni pendrive ko bootable banani padti hai aur pendrive ko bootable banane ke liye aapko window ki dvd aur power iso ki jarurat hoti hai




Recruitment software


1            Power ISO
2.        Wintobootic

1st  Work
Pendrive ko bootable banana ke liye aapko window ki dvd ko laptop me lagakar use use open kare ke  Ctrl+A  press kar ke  sabhi select kar un sabhi file aur folders ko copy kar le aur apne laptop me save kar le
2nd  Work
Ab aapko ek image file banana hai jiske liye aapko Power ISO  naam ka software download karna hai jab aap software ko apne computer me install kar lenge aur launch karoge tab aapke saamne iss tarah ki window open hogi

1.yaha par aapko file and folder to image ko choose karna hai
2. sabhi files ko select kare  ke image file bana le.


Bootable pendrive banane ka tareeka .

Jab  aap image file bana le tab aapko wintobootic software ko launch karna hai
Jaise hi aap wintobootic ko launch karenge aapke saamne iss tarah ki window open hogi




  1. 1.     Yaha par aapko us image file ko select karna hai jo image file aapne window cd me se nikali gayi sabhi file aur folder ki banayi thi
  2. 2.     Yaha par aapko us usb ko select karna hai jisko aap bootable banana chahte hai
  3. 3.     Bootable pendrive banane ke liye do it par  click kare


Kuch time processing chalne ke baad aapki pendrive bootable ban jayegi  no thanks  par click karne ke baad pendrive ko laptop se nikaal le  ab aapki pedrive bootable ban chuki hai .

Pendrive se laptop or computer me window install karna
Pendrive  se window install karne ke liye apne laptop ko shutdown kare aur usb port me bootable pendrive ko lagaye ab laptop ko start kare jab lapto open hone lage apne laptop ke boot karne wali key ko dabaye sabhi laptop ki boot karaane wali key alag alag hoti hai jaise hi aap boot key ko dabayenge aapse boot device ko puchha jayega waha par aapko usb ko select karna hai laptop me window install honi start ho jayegi

Aapko ye post kaisi lagi hume comment ke madhyam se jarur bataye yadi aapko is post me kuch samajh na aaya ho to aap hume comment kar ke apni problem humare sath share kar sakte hai 

Read Also

No comments:

Write here your comment

Powered by Blogger.