Header Ads

Breaking News
recent

Top 5 Tips to increase Youtube video ads CPC



          
Welcome Back Again on my Blog
Yadi aap Youtube ke madhyam se paisa kamana chahte hai aur Youtube par channel  bhi bana chuke hai aur video bhi lagataar upload kar rahe hai par income achhi nahi ho paa rahi hai bahut se Youtuber ne mujhse se sawal kiya hai ki mai lagatar video upload kar raha hu aur mere channel par 500+ video upoad hai par per ad CPC 0.002$ ya 0.001 hai aur kuch Youtuber ne mujhse ye sawal bhi kiye hai ki humare daily views bahut jyada hai lekin bhir bhi income nahi ho rahi hai un sabhi ke sawalo ka jawab me is post me de raha hu . yadi aapke saath bhi yahi problem hai to iss post se aapko bahut madad milegi isliye iss post ko dhyaan se padhe .

    -
increase ads cpc
Top 5 Tricks
Video upload karte samaya hum aisi bahut si galtiya karte hai jiska effect humari income aur views par padta hai aur humari video rank me nahi aa pati hai . aisi hi kuch galtiyo ke bare me mai aaj aapko bataunga . lekin usse pehle
Youtube ki kuch khaas baato ko bata doo. Yadi aap Youtube se acchi income karna chahte hai to iss prkar ki sabhi koshise karo jo aapki video ko Youtube search me achhi rank dila sake . kyonki aap jaante hai jitni achhi rank aapki video ki hogi utne jyada views honge aur CPC bhi increase hogi. 


Aksar log yahi sawal karte hai ki mere channel par show hone wale ads ki CPC kam kyon hai to mai aapko bata du aapke ads ki CPC aapki video rank par depand karti hai yadi aapki video ki rank achhi hogi to apke channel par show hone wale ads ki CPC bhi jyada hogi  seedhe sahbdo me jaise jaise video rank badhegi CPC bhi increase hogi . chaliye ab mai aako un sabhi galtiyo ke bare me bata deta hu jo aksar kar naye Youtuber karte hai. Yadi aap is sabhi galtiyo ko sudhar lete hai to yakeenan aapki income achhi increase ho jayegi.





Very Important  Tips don’t ignore.

1.       Video title – aksar log video ka title ulte seedha likh dete hai. Dhyan rahe hume us user ke hisaab se title likhna hai jo use search karega apne hisaab se likha gaya title bekar hai jab aap title likhne se pehle ache se soche ki aakhir jis topic par aapne video banayi hai us topic par koi  vyakti kya search kar sakta hai ye pata karne ke liye aap google ki help bhi le sakte hai  .video tile video content ke anusar hona chahiye bhoolkar aisa na kare ki video me kuch hai to title kuch aur likha hua hai .



2.       Video Description- jyadatar Youtuber ise ignore kar dete hai jiska khamyaja unhe bhugatna padta hai unki video par taraffic hi nahi aat hai . video description video ko search me lane ke liye most important  hai to please  yadi aap achhi income karna chahte hai to ise ignore na kare . video description kaise likhe  ? video description me sabse pehle video title ke kuch most important keyword likhe mera matlab title ke aise words jo video ko dinot karte hai ki ye video kis bare me hai uske baad video ke bare me short information de jo lagbhag 4-5 line ki ho. Uske baad apne Youtube channel ka subscribe link , twitter link , facebook like link , etc social media ke link de yadi video me kisi software ke bare me bataya gaya hai to us software ka download link dena na bhoole kyoki lagbhag sabhi Youtube watcher jab kisi computer ya mobile trick ke bare me dekhte hai to video ke description me download link jarur dekhte hai .


3.       Video Tags – description ke bilkul neeche video tags ka box hota hai is box me aapko apni video se related un keywords ko likhna hai jinse aapki video search result me show ho sakti hai jaise “Youtube se video kaise download karte hai “ key tag me likhe jaane wale keywords hai “ Youtube ki video kaise download kare “ , Youtube se video kaise download kare bina kisi software ke” ,“download Youtube video” , “download video from Youtube” , “ how to download Youtube videos without any software” etc. iss tarah ke keyword apni video se milte julte keyword tags me likhne hai sath hi apne Youtube channel ka naam jaruru likhe .



4.       Video thumbnail –apni har video ka thumbnail banaye thumbnail kya hota hai ? ek aisi photo jo apki video content ke bare me batati ho is photo ko video thumbnail banaye vaise to jab aap video upload karte hai to Youtube video me se 3 jangho se screen capture kar ke thumbnail create kar deta hai lekin aapko apne aap ek achi si image banana hai aur image me apne video content ke title se related kuch words likh dene hai. Kyon ki prtyek user video ke thumbnail ki banawat ko dekhkar hi aakarshit ho jata hai to please ek acchi thumbnail banaye .
5.       Playlist -  yadi aap ek se adhik topic par video upload karte hai to. Prtyek topic ki ek playlist banao aur har playlist me uski category ki video dalo. Isse jitney bhi user aapke channel ko visit karne wale honge ve sabhi aur naye user bhi aapke video category wise aasani se dekh sakenge aur unhe jis category ki video dekhni hogi usi playlist ko open kar ke dekh sakenge.


Feedback
Aapko ye post kaisi lagi mujhe comment kar ke jarur bataye yadi aapko post me kuch samajh me na aayi ho to  aap mujhe comment kar ke apne sawal ka jawab parapt kar sakte hai yadi aap humari sabhi post se update rehna chahte hai to side me diye gaye box me apna email id likhkar humare blog ko subscribe kare .







No comments:

Write here your comment

Powered by Blogger.