Header Ads

Breaking News
recent

How to Find Youtube video Description , Tags , Earning




Welcome back again on my Blog

Youtube par aise bahut se channels available hai jo ek month me laakho kamate hai . aap bhi kama sakte hai likn itna paisa kamaane ke liye aapko bahut mehnat ki jarurat hogi jo aap karnge . lekin yadi hum baat kare kisi famous channel ki to uss channel par jo video upload ki jaa rahi un video me description me kya use kiya jata hai  ? , kaun kaun se tag use kiye jaate hai ?  ye sabhi question sabhi new youtuber ke mind me aate hai aur aane bhi chahiye aise question ka mind me aana hi apko genius banayega . aaj ki iss post me mai aapko batane wala hoo ki kis tarah se aap kisi high rankig video ke tags , description , status ko jaan sakte hai .” Get Ready “



find tag description
Find tag description


Waise to bahut se tarike hai jinki madad se aap high rank wali video ke tags , description jaan sakte hai lekin aaj ki iss post me mai aapko ek  extention ke bare me batane wala hoo jiska naam hai tubbuddy . yah extention size me chhota hai lekin kaam bade hai .

Tubebudy kis –kis browser ko support karta hai ?

Iss extention ko aap sabhi
popular browser ( google chrome , opera , firefox , safari etc ) me use kar sakte hai . mai aapko google chrome ke bare me bataunge kyonki mai google chrome ko hi most use karta hoo.







Tubebudy ko google chrome me install kaise kare ?

Tubebudy ko google chrome me use karne ke liye steps ko follw kare .  “ Follow all steps “

First of all google chrome browser ko open kar le .

find tag description
Install Extension


  1. google chrome ke right side ke top corner me ek menu button diya gaya hai uss par click kare.
  2. setting ko choose kare.

get more extension
get more extension


  1. Left side me Extensions par click kare .
  2. Get more extensions par click kare.
  3. left side me search box me “ tubebuddy “ likhkar search kare.
  4. maine already install kiya hai isliye “ Rate it “ likha aa raha hai jab aap karoge tab waha par “ add to chrome “  likha hua aayega aapko uss par click karna hai . kuch time ke baad yah extension  install ho jayega .

Ab aapni gmail id ko log out kar ke dobara login kare yadi aap aisa nahi karte hai to shayad tubebuddy sahi se kaam na kare. Isliye ek baar logout hokar dobara login ho jaye.






Tubebuddy se Description , tags , status kaise pata karte hai .?

Find tags description
Find tags description


 Jis video tags , description. Status ka pata karna hai uss video par click kare
Just video ke neeche dekhe aapko tubebuddy ke kuch option dikhai denge.

Description – iss par click kar ke aap ye pata kar sakte hai ki selected video me description me kya lkha gaya hai .

Status – iss par click karne se aap video ki total earning , Share , like , post etc ki jaankari prapt kar sakte hai 
.
3.Tags – iss par click kar ke aap choose ki gayi video ke uses tags jaan sakte hai .

4. Tools – iske baar me mai aage post karunga isme tubuddy ke dilchasp tools available hai .




Tubebuddy ki help se apni video ki ranking check karna.

Check rank in tubebuddy
Add caption

Tubebuddy ki help se na keval aap dusre channels ki video ki description , tags ,status check kr sakte hai balki apni video ki rank bhi check kar sakte hai . tubebuddy ke aise bahut se tool hai jinki madad lekar aap apne channel ki rank increase kar sakte hai . tubebuddy ke other featrur ke bare me other post ki jayegi . apni videos ki rank jaanne ke liye steps ko follow kare  Follow these steps “

  1. Video manager ko open kare
  2. video ke just neeche edit button ke just right side me tubebuddy ka button aa chukka hoga. Us par click kare.
  3. Search rankings par click kare.

Kuch time wait kare thodi der ke baad video rank show hogi.








Feedback

yah post aapko kaisi lagi comment kar ke jarur bataye post se related yadi aapki koi query hai to comment ke jariye jarur puchhe . Seo , Bloging , Internet , Youtube , online money etc ki kisi bhi prkar ki jaankari pane ke liye apne sawal ko humare saath comment ke jariye share kare . hum aapke sawal ka intjar karenge .

Read Also -














2 comments:

  1. अगर अपना कोई चैनल नहीं बना है तो भी हम किसी दुसरे किसी वीडियो का अर्निंग और टैग आदि कैसे चेक कर सकता हूँ , कृपया बताएं

    ReplyDelete
  2. aapka channel hona jaruri hai kyonki hum apne channel se hi tubebuddy ko link karte hai

    ReplyDelete

Write here your comment

Powered by Blogger.