Header Ads

Breaking News
recent

How to Earn money from Youtube - Full Guide

Online paisa kamana bahut hi aasan hai internet par bahut se aise tarike hai jinse aap onine paisa kama sakte hai lekin youtube se paisa kamana  sabse aasan hai. Yadi aap bhi internet ke jariye ghar baithe paisa kamana chahte hai to is post ko dhayan se adhiye is post me mai aapko bataunga kis tarah se aap youtube se paisa  kama sakte hai .


how to earn money by youtube
Earn money by youtube

Online paisa Kamane ka youtube sabse achha tareeka hai khaas kar jab aap internet se paisa kamane ki shuruaat kar rahe ho . apko youtube par ek channel banana hai aur apne channel par kuch interesting video upload karni hai. In videos par google dwara kuch ads show honge jinke aapko paise milenge . to chaliye mai aapko batata hu ki kis tarah se youtube se paisa kamaya ja sakta hai aur yeh kis tarah kaam karta hai


Sabse pehle apni gmail id se log in hokar aapko youtube par ek channel banana hai aur us channel par interesting videos upload karni hai channel kaise banate hai aur video kaise upload karte hai ye mai aapko poori tarah explain kar ke bata raha hu.


Youtube par channel kaise banate hai ?

Youtube par channel banana bahut aasan hai . sirf aapke pas ek gmail id honi chahiye uske through hi aap youtube par apna channel bana sakte hai .yadi aapke paas gmail id nahi hai to pehle aap gmail id bana le gmail id banana ke liye yaha click kare
Ab mai maan leta hoo ki aapne gmail id bana li hai to chaliye ab youtube par channel banana seekhte hai channel banana ke liye aapko www.youtube.com par jana hai . yaha par aapko right side ke top me sign in likha hua dikhai dega jaise hi aap us par click karenge aapse aapka gmail id aur password puchha jayega yaha par aapko apna gmail id aur password insert kare ke sign in hona hai. Sign in hote hi aapka youtube par channel ban jayega. Ab left side me my channel likha hua hoga us ar click kar ke aapko apne channel par pahuchna hai.  Ab aapke dimaag me ye question aa raha hoga ki aakhir humare youtube channel ka naam kya hoga. To mai aapko bata du aapke channel ka naam wahi hoga jo aapne gmail id banate samaya User name likha tha yadi aap apne channel ka naam kuch different rakhna chahte hai to aapko apne gmail account ke user name ko change karna hoga. Mai aapko suggess karunga ki aap channel ke liye alag se ek gmail id banaye apni personal id ka use channel ke liye na kare aur us gmail id ko banate samay user name wahi insert kare jis naam se aap channel banana chahte hai .aap baad me bhi naam ko change kar sakte hai par kyu na ise pehle hi thik kar liye jaye .

Youtube video par paise kaise deta hai ?

Youtube google ka hi ek program hai jaha par aap video upload kar ke paisa kama sakte hai. Google adsense google dwara chalaya gaya ek program hai jiska karya online advertising karna hai jaisa ki aapne dekha hi hoga tv par vibhinn prkaar ke ads aate hai ye ads tv par kaun dikhata hai ? ye ads tv par program chalane wale channel dwara dikhaye jaate hai aur ye channel un sabhi company se jinke wo ads tv par dikhate hai se paisa lete hai kyoki isse unke product ka vigyapan hota hai aur unke product ki sales badhti hai. Same isi tarah google adsense bhi online adverting ka ek program hai  jo un sabhi company se paisa leta hai jo apne product ka ad internet par karana chahti hai . aur google in ads ko youtube par upload ki gayi videos aur website par dikhata hai . aur jab bhi koi internet user in par click karta hai to google aapko kuch iske kuch paise deta hai . lekin aapko ek baat ka dhyan rakhan hai adsense ke liye aapko jab hi apply karn hai jab aapki videos par acchhe views ho jaye . jab aap video upload kar denge aur apki video par 500 se jyada view ho jayenge tab aap adsense ke liye apply kar sakte hai

Youtube par video kaise upload karte hai ?


uploadAapne youtube par channel to bana liya hai ab baat aati hai apne channel par video upload karne ki to chaliye video upload karna bhi seekhte hai . jab aap apne youtube channel me aa jaoge tab right side me top par side me diye gaye button jais  upload ka button dikhai dega, video upload karne ke liye aapko iss par click karna hai jaise hi aap is par click karenge aake saamne iss tarah ki window open hokar aayegi .

youtube
Main window

Arrow ke button par click karenge tab aase video ko choose karne ke liye kaha jayega . aapke computer me jaha par bhi aapki video save hai waha se aapko use select karni hai ab aapke saamne iss tarah ki window open hogi
Video Configuration


1.       Video Title - Yaha par aapko apni video ka title likhna hai. Video ka title simple aur padhne me aasan hona chahiye  aur video ke content se milta julta hona chahiye aisa kabhi na kare ki video me kuch aur bataya gaya hai aur title kuch aur likha hai aisa karne se aapke channel ke traffic par effect padega
2.       Video Description – video description bahut jaruri hai ise ignore na kare khaas kar new user ise ignore kar dete hai aur baad me poochhte hai ki humari video view kyo nahi ho rahi hai to yaad rahe description write in every video . video configuration par me ek alag se post likhunga jisme mai aapko video upload karte samay ki configuration ke bare me bataunga

3.       Video Tags – video tag video ko search result me achhi rank dilane ke liye bahut jaruri hai aur aap ye bhi  jaante hai jitni achhi aapki video rank hogi utni hi achhi apki income hogi , video tags kya hai iske liye mai aapko apni next post me bataunga abhi sirf itna bata deta hu ki tags me aapko apne video title se milte julte word likhne hote hai
4.       Video thumbnail- aap youtube par jo bhi video upload kare uska ek custom thumbnail bana le aisa karne se aapki video achhi lagegi aur ek baat ka dhyan rakhe thumbnail khubsurat banaye taki use dekhkar hi visitors aapki video ko dekhne ke liye majboor ho jaye .
5.       Playlist- aap kis kis type ki video apne channel par upload karte hai un sabhi ki category banaye. Mera matlab jaise aap computer aur mobile tricks ke bare me video upload karte hai to dono ki playlist alag alag banaye jisse visitor ko ye pata chal sake ki aapke channel par kis kis type ki video upload ki gayi hai .sabhi configuration karne ke baad video ko publish kar dena hai .


Kis kis tarah ki video youtube par upload nahi kar sakte ?


Video upload karne se pehle aapko neeche di gayi warning ko apne dimaag me rakhna hai

1.       Sex  (Adult) video ko aap youtube par upload nahi kar sakte.
2.       Kisi ki ladaai jhagde ki video ko aap youtube par upload nahi kar sakte.
3.   Kisi bhi aisi video ko jo pehle se internet par maujood ho. Yadi aap aisa karte hai to yeh copyright mana jayega aur aap apni videos se income nahi kar payenge.


Read Also  







No comments:

Write here your comment

Powered by Blogger.