Header Ads

Breaking News
recent

Target country for high Traffic



 Welcome Back Again on my Blog

       Naye bloggers ka ek hi sawal ? humare blog par traffic kyon nahi aa raha hai ? blog par traffic kaise badhaye ? aise sabhi sawalo ka jawab mai aaj ki is post me aako mil jayega  jyadatar naye blogger s ne mujhse comment me yahi  sawal kiya hai ki humare blog par traffic kaise badhega to us sabhi ke sawalo ka jawab mai is post me de raha hu. Yadi aapke saath bhi traffic se related koi problem hai to iss post ko dhayan se padhe yeh post aapke liye bahut faydemand saabit ho sakti hai .



target country
Target country

           Yadi aap ek naye blogger hai aur apne blog par achha traffic chahte hai to mere steps ko follow kare. Koi bhi blogger ho vah ye hi chahta hai ki uske blog par sabse jyada traffic aaye lekin aisa kar  pana aasan nahi hai kyon ki bloging bahut badi cheej hai isko samajhna bhi aasan nahi hai lekin karna namumkin bhi nahi
hai yadi aapke dil me kisi kaam ko karne ki lagan hai to aap us kaam ko jarur kar denge. Leki yadi aap situation ko dekhkar haar maan jaate hai to aap kisi bhi kaam ko anjaam nahi de paayenge . mere iss baat ko dimaag me baitha le aur ki bhi kathinai ka datkar mukabla karo dekhna eke k jarur kaamyab ho jaoge .to chaliye aur baat phir karbhi karenge ab apne topic par chalte hai .







Blog ke liye kisi country ko target karna kyon jaruri hota hai ?


           Ye sochiye ki aapke blog ko achha traffic kaha se mil sakta hai hai ? mera matlab yadi aap meri tarah ek hindi blogger hai to aapke blog ko India , Pakistan , Nepal  etc se traffic  mil sakta hai lekin hindi India ki National Language hai isliye aapko india se sabse jyada traffic milega aur yadi aap English me content likhate hai to America , England , Canada etc. se jyada traffic milega aap jis bhi language me content likhte hai aapke apne content ke anusar hi country ko target karna hai yadi aap kisi bhi country ko target nahi karte hai to aapko achha traffic nahi mil payega .


Kisi country ko target kaise karte hai ?


        Jab aap blog banate hai tab blog ko google search console me to submit kara dete hai. Lekin country ko target nahi karte hai aur baad me yahi sochkar pareshan rehte hai ki aakhir blog par traffic kaise badhaya jaaye . to chaliye blog ke liye country ko target karte hai .sabse pehle aapko google search console ki window par jaana hai. Waha par left side me bahut se menu hai jinka use karna hume aana chahiye.baaki menus ke bare me aage baat karenge . side me Search Traffic   ka menu dikhai dega jab aap iss par click karenge tab kush sab menu open honge in submenu me ek International Targeting  ka menu hoga iss par aapko click karna hai jaise hi aap iss par click karenge tab aapke saamne iss tarah ki window open hogi.


Target country
Target Country


1.       Language - Isme sabse pehle option languge ka hai  yaha par aapko language ko choose karni hai aap jis language me content likhe ho us language ko choose kar le.

.

2.       Country – yaha par aapko us country ko choose karna hai jis country se aap blog par traffic pana chahte hai. Yadi aap hindi blogger hai to india ko choose kare aur yadi English blogger hai to United State ko choose kare.


Kuch din wait kare aapke blog ka traffic increase ho jayega .

Feedback      
  Aapko ye post kaisi lagi hume comment kar ke jarur bataye . yadi aapko iss post me kahi par kuch samajh me na aaya ho to aap hume comment kar ke apne sawal ka jawab prapt kar sakte hai . humari sabhi post se yadi aap update rehna chahte hai to side bar me ek box diya gaya hai waha par apna email id likhkar humare blog ko subscribe kare.

Read Also





No comments:

Write here your comment

Powered by Blogger.