Header Ads

Breaking News
recent

How to update aadhar card Adress Mobile number



Welcome back again on my Blog

Aadhar card  me address , mobile no. Naam etc. ki shikayat hoti hai kisi ke naam me galti to kisi ke address me galti aksar milti hai . aur ye galtiya kuch humare dwara aur kuch un karyakartao ke dwara hoti hai jo aapka aadhar card banate hai . jab aap aadhar card banwate hai tab aap apni sabhi information ko check nahi karte hai jiski vajah se apke naam , mobile no. ,address me galti ho jaati hai. Yadi aapke aadhar card me bhi koi problem hai to iss post ko dhayan se padhe me is  post me aadhar card ko update karne ke bare me poori tarah se explain karunga.
update aadhar card
Update adhar card

Aadhar card ke address ko change karne ke liye kuch document ki scan copy  aadhar card ki website par upload karayi jaati hai. Same isi tarah se mobile  no ko change karne ke liye bhi kuch proof upload kiya jata hai . to chaliye me aapko batata hu ki aapk kis tarah se apne aadhar card ko update karoge.

   
aadhar card update
search this
1.       Google me Resident .uidai  likh kar search kijiye
2.       Update data par click kijiye.



Click karne ke baad UIDAI ki home window open hogi  jisme bootom side me update aadhar data  ki ek shape bahi hui hai uss par click kijiye ab aapke saamne ek nayi window open hogi jime kuch instructions diye gaye hai iss window me neche ke taraf blue color me “ to submit your Update/correction request online please click here” is par click kijiye . ab aapke samne iss tarah ki window open hogi .

update aadhar card
window - 1

update aadhar card
window - 2

1.       Yaha par aapko apne us aadhar card ka number likhna hai jisme aapko correction karni hai.
2.       Upar diye gaye captcha code ko likhe .
3.       Send otp par click kare. Jaise hi aap send otp par click karenge aapke us number par jo apne aadhar card banwate samay registerd karaya tha ek 6 digit ka code aayega .
4.       Mobile par prapt code ko yaha likhe aur log in par click kare.

update aadhar data
Choose anyone

Yaha par aapko vah select karne hai jis jis me aap correction karna chahte hai jaise  naam, address , mobile no,  date of Birdh,Email id  etc. aap yaha par ek se jyada bhi select kar sakte ho . Ab aapko ek form fill karna hai jo aapse information puchhi jaaye use achhi tarah fill kare . jab aap form ko fill kar denge tab aapse document upload karne ke liye kaha jayega aur ek  suchi bhi di jayegi  jisme se aako us document ko select karna hai jo aapke paas available hai aur ek baat ka dhyan rahe prtyek correction ke liye aapko alag document upload karna hoga.











No comments:

Write here your comment

Powered by Blogger.