Header Ads

Breaking News
recent

Top 5 tips for new Blogger ( Boost Post )



Welcome back Again on by Bog
       Post ko likhna aur publish kar dene se hi post search resut me achhi rank nahi  prapt kar sakti yadi aap post ko achhi rank me lana chahte hai to aapko post ko publish karte samya kuch important baatio ko mind me rakhna hai. Naye blogger hamesha yahi karte hai we keval post likh kar unhe publish kar dete hai aur yeh samajhte hai ki ab unki post apne aap rank me aa jayegi lekin aisa nahi hai apko iske liye bahut se steps follow karne honge jinke bare me aaj iss post me mai aapko bataunga . isliye iss post ko dhyan se padhe .


Top 5 Tips
Top 5 Tips


Yadi aap ek naye blogger hai aur kuch post bhi kar chuke hai aur is  baat se pareshan hai ki aakhir kya vajah hai jiski vajah se post search me nahi aa pa rahi hai. To chaliye mai aaj aapko kuch tips deta hoo jisse aapki post bahut jald search result me achhi rank prapt kar legi. Kya aapne post likhte samay Post title , Post Description , Post permalink , etc. par dhyan diya hai nahi ?





      Yadi aapka  jawab no hai to yaad rakhiye post ke liye post title , post description, sabse  sabse jayada value rakhte hai  yadi aap in par dhayan nahi dete hai to aap ek ache blogger nahi ban payenge mai in sabhi ke bare me detail me explain kar ke bata raha hoo neeche ek picture dee gayi hai iss picture ko dekhakr aap aasani se samajh sakte hai.



  1.     .    Post Title -  Post ka title aisa choose kare jisme keyword ka use kiya gaya ho aur apki post ke content ko poori tarah denot karta ho. Post title choose karne ke liye aap keywords ko Google ,Google keyword planner , Kwfinder , Semrush etc ka use karke find kar sakte hai  aisa title kabhi choose na kare jise log search bhi na karte ho . keyword find karne ki adhik jaankari ke liye aap humari seo category se keyword se related post padh sakte hai . 



  1.     .2      . Post  Desription – blog post ko jayda search me lane ke liye post description ko acche se likhe yaad rahe aapki post ko 80% search me post description dwara hi laya jata hai aur naye blogger ise ignore kar dete hai isme aapko apni post se related aise keyword ko likhna hai jo log search kar sakte hai. Ise likhna aapki soch par depand karta hai mai aapko ek Exapmple  dekar batata hoo maan lijiye meri ek post hai “ Youtube se video kaise download karte hai “ ab ye to aapki post ka main title hai lekin jaruri nahi ki user same yahi likhkar search karega vah iski jangah bahut se defferent keyword likhkar search kar sakta hai . For Example  - youtube se video kaise download kare bina software ke , ” how to download youtube video “, “ youtube video download karne ka tareeka hindi me “, ” how to download youtube video in hindi “ etc. in sabhi keywords ko aap apne aap sochoge ki aakhir is post ke bare me koi user kya kya search kar sakta hai aur un sabhi keywords ko aap Description me likhoge jisse aapki post jyada se jyada search result me aa payegi .


  1. 3.       Permalink -  blogger dwara post ka permalink automatic aur custom dono prkar se choose kar sakte hai. Waise to blogger apne aap aapki post ki title ko hi permalink me convert kar deta hai ye bhi thik hai. Lekin ek baar check kar ke yadi yadi permalink post ki title se kuch alag hai to automatic ke bilkul neeche custom permalink banana ka option hai. Waha par ckick kar ke apne post ke title anusar permalink banaye. Isse aapki post jaldi rank me aati hai .
  1. How to Save document to Google Drive
    How to Import bookmark in google chrome without Backup
    How to update aadhar card Adress Mobile number
  1. 4.       Labels –  Lable ka doosra naam category hai aur kisi bhi cheej ko category me rakhne se dhoodhne me aasani hoti hai. yadi aap ek se adhik topic par post karte hai to un sabhi topics ke alag alag labels banaye jisse apki site par aana wala prtyek visitor aapki sabhi post ko category wise padh sakega . yadi aap labels ka use nahi karoge to visitor ko ye bhi pata nahi chal payega ki aapke blog par kis kis prkar ki post available hai.


  1. 5.       Highlight Title related  and Headings Keywords – jis topic par aap post kar rahe hai us topic se related sabhi keywords ko highlight kare jaisa ki upar picture me Youtube ko highlidht kiya gya hai. Aisa karne se post ki rank increase hoti hai . un sabhi lines koheading me convert kare jo alag alag question ko dinot karti hai jaisa ki upar picture me dikhaya gaya hai . “ Youtube par channel kaise banate hai “ ye ek aisi heading hai jo iss post me kuch alag bataya ja  raha hai, seedhe shabdo me aisi lines jo post ko alag alag parts me divide kar deti hai .


Final Words

prtyek new Blogger se mai yahi kehan chahunga ki yadi aap achhi income karna chahte hai to aapko bahut mehnat karni hogi aur pareshaniyo ka datkar mukabla karna hoga. Aur batayi gayi kisi bhi tips & Trick ko ignore na kare kyon ki bloging me chhoti chhoti baato ka bahut effect hota hai .


Feadback –


Aapko ye post kaisi lagi mujhe comment kar ke jarur bataye . yadi post me kahi par aapko kuch samajh na aaya ho to aap mujhe comment kar bhi puch sakte hai. Side me ek subscribe box diya gaya hai yadi aap humari sabhi new post ke liye update rehna chahte hai to aap us box me apna email id likh kar humare blog ko subscribe kar sakte hai .



No comments:

Write here your comment

Powered by Blogger.