Target country for high Traffic
Welcome Back
Again on my Blog
Naye bloggers ka ek hi sawal ? humare
blog par traffic kyon nahi aa raha hai ? blog par traffic kaise badhaye ? aise
sabhi sawalo ka jawab mai aaj ki is post me aako mil jayega jyadatar naye blogger s ne mujhse comment me
yahi sawal kiya hai ki humare blog par
traffic kaise badhega to us sabhi ke sawalo ka jawab mai is post me de raha hu.
Yadi aapke saath bhi traffic se related koi problem hai to iss post ko dhayan
se padhe yeh post aapke liye bahut faydemand saabit ho sakti hai .
Target country |
Yadi aap ek naye blogger hai aur
apne blog par achha traffic chahte hai to mere steps ko follow kare. Koi bhi
blogger ho vah ye hi chahta hai ki uske blog par sabse jyada traffic aaye lekin
aisa kar pana aasan nahi hai kyon ki
bloging bahut badi cheej hai isko samajhna bhi aasan nahi hai lekin karna
namumkin bhi nahi
hai yadi aapke dil me kisi kaam ko karne ki lagan hai to aap
us kaam ko jarur kar denge. Leki yadi aap situation ko dekhkar haar maan jaate
hai to aap kisi bhi kaam ko anjaam nahi de paayenge . mere iss baat ko dimaag
me baitha le aur ki bhi kathinai ka datkar mukabla karo dekhna eke k jarur
kaamyab ho jaoge .to chaliye aur baat phir karbhi karenge ab apne topic par chalte
hai .Blog ke liye kisi country ko target karna kyon jaruri hota hai ?
Ye sochiye ki aapke blog ko achha
traffic kaha se mil sakta hai hai ? mera matlab yadi aap meri tarah ek hindi
blogger hai to aapke blog ko India , Pakistan , Nepal etc se traffic
mil sakta hai lekin hindi India ki National Language hai isliye aapko
india se sabse jyada traffic milega aur yadi aap English me content likhate hai
to America , England , Canada etc. se jyada traffic milega aap jis bhi language
me content likhte hai aapke apne content ke anusar hi country ko target karna
hai yadi aap kisi bhi country ko target nahi karte hai to aapko achha traffic
nahi mil payega .
Kisi country ko target kaise karte hai ?
Jab aap blog banate hai tab blog ko
google search console me to submit kara dete hai. Lekin country ko target nahi
karte hai aur baad me yahi sochkar pareshan rehte hai ki aakhir blog par
traffic kaise badhaya jaaye . to chaliye blog ke liye country ko target karte
hai .sabse pehle aapko google search console ki window par jaana hai. Waha par
left side me bahut se menu hai jinka use karna hume aana chahiye.baaki menus ke
bare me aage baat karenge . side me Search Traffic ka menu dikhai dega jab aap iss par click
karenge tab kush sab menu open honge in submenu me ek International
Targeting ka menu hoga iss
par aapko click karna hai jaise hi aap iss par click karenge tab aapke saamne
iss tarah ki window open hogi.
Target Country |
1.
Language - Isme sabse pehle option
languge ka hai yaha par aapko language
ko choose karni hai aap jis language me content likhe ho us language ko choose
kar le.
.
2.
Country – yaha par aapko us country ko choose
karna hai jis country se aap blog par traffic pana chahte hai. Yadi aap hindi
blogger hai to india ko choose kare aur yadi English blogger hai to United
State ko choose kare.
Kuch din wait kare aapke blog ka traffic increase ho jayega
.
Feedback
Aapko ye post kaisi lagi hume comment kar ke jarur bataye . yadi aapko iss post me kahi par kuch samajh me na aaya ho to aap hume comment kar ke apne sawal ka jawab prapt kar sakte hai . humari sabhi post se yadi aap update rehna chahte hai to side bar me ek box diya gaya hai waha par apna email id likhkar humare blog ko subscribe kare.
Read Also
Aapko ye post kaisi lagi hume comment kar ke jarur bataye . yadi aapko iss post me kahi par kuch samajh me na aaya ho to aap hume comment kar ke apne sawal ka jawab prapt kar sakte hai . humari sabhi post se yadi aap update rehna chahte hai to side bar me ek box diya gaya hai waha par apna email id likhkar humare blog ko subscribe kare.
Read Also
No comments:
Write here your comment