How to update aadhar card Adress Mobile number
Welcome back
again on my Blog
Aadhar card me address , mobile no. Naam etc. ki shikayat
hoti hai kisi ke naam me galti to kisi ke address me galti aksar milti hai .
aur ye galtiya kuch humare dwara aur kuch un karyakartao ke dwara hoti hai jo
aapka aadhar card banate hai . jab aap aadhar card banwate hai tab aap apni
sabhi information ko check nahi karte hai jiski vajah se apke naam , mobile no.
,address me galti ho jaati hai. Yadi aapke aadhar card me bhi koi problem hai
to iss post ko dhayan se padhe me is
post me aadhar card ko update karne ke bare me poori tarah se explain
karunga.
Update adhar card |
Aadhar card ke address ko change karne ke liye kuch document
ki scan copy aadhar card ki website par
upload karayi jaati hai. Same isi tarah se mobile no ko change karne ke liye bhi kuch proof
upload kiya jata hai . to chaliye me aapko batata hu ki aapk kis tarah se apne
aadhar card ko update karoge.
search this |
1.
Google me Resident .uidai likh kar search kijiye
2.
Update data par click kijiye.
Click karne ke baad UIDAI ki home window open hogi jisme bootom side me update aadhar data
ki ek shape bahi hui hai uss par
click kijiye ab aapke saamne ek nayi window open hogi jime kuch instructions
diye gaye hai iss window me neche ke taraf blue color me “ to submit
your Update/correction request online please click here” is par
click kijiye . ab aapke samne iss tarah ki window open hogi .
window - 1 |
window - 2 |
1.
Yaha par aapko apne us aadhar card ka number
likhna hai jisme aapko correction karni hai.
2.
Upar diye gaye captcha code ko likhe .
3.
Send otp par click kare. Jaise hi aap send otp
par click karenge aapke us number par jo apne aadhar card banwate samay
registerd karaya tha ek 6 digit ka code aayega .
4.
Mobile par prapt code ko yaha likhe aur log
in par click kare.
Ab aapke saamne iss tarah ki window open hogi.
Choose anyone |
Yaha par aapko vah select karne hai jis jis me aap
correction karna chahte hai jaise naam,
address , mobile no, date of Birdh,Email
id etc. aap yaha par ek se
jyada bhi select kar sakte ho . Ab aapko ek form fill karna hai jo aapse information puchhi
jaaye use achhi tarah fill kare . jab aap form ko fill kar denge tab aapse
document upload karne ke liye kaha jayega aur ek suchi bhi di jayegi jisme se aako us document ko select karna hai
jo aapke paas available hai aur ek baat ka dhyan rahe prtyek correction ke liye
aapko alag document upload karna hoga.
Feedback
aapko ye post kaisi lagi comment kar ke jarur bataye yadi aapko is post me kahi par kuch samajh na aaya ho to aap comment kar ke puch sakte ho .
Read Also
aapko ye post kaisi lagi comment kar ke jarur bataye yadi aapko is post me kahi par kuch samajh na aaya ho to aap comment kar ke puch sakte ho .
Read Also
No comments:
Write here your comment