How to set custom domain to Blogger
Welcome back
Again on my Blog
Yadi aap ek naye blogger hai aur
blogger par blogging karte hai to aap ye jaante hi honge ki jab aap naya blog
banate hai to aapke blog ke naam ke baad blogspot already likha hua aata
hai jo humare blog ke naam ko bhadda sa kar deta hai jaise www.support4ever.in aur www.support4ever.blogspot.in ke padhne me bahut different hai blogspot
google ki ek pehchan hai. Lekin google ne isko remove karne ki authority aapko
di hai aap apni pasand ka domain name purchase kar ke ise apne blog ke naam se
remove kar sakte hai aaj ki iss post me mai aapko bataunga kis tarah se aap
blogspot ko remove kar sakte hai. “ Read Carefully “
Set Custom Domain |
Yadi aap apne blog par bahut post
kar chuke hai aur aapke blog par traffic bhi bahut ho chukka hai to aapko apne
blog ke url se blogspot ko remove kar dena chahiye . kyoki ye aapke blog ke
naam ko bhadda karta hai. Ab apne blog ko ek website ke jaisa naam dijiye .
blogspot ko remove karne ke liye aapko ek apni pasand ka ya jis naam se aapka
blog hai us naam ka domain purchase
karna hoga. Internet par bahut si aisi website hai jinse aap domain name
purchase kar sakte hai for
Example –
Upar di gayi top 5 website me se
mai aaj aapko godaddy ke bare me bataunga kyonki godaddy sabse sasti aur best
hai. Godaddy se domain name purchase karne ke baad apne blog par kasie set
karte hai .
How to set custom domain to blog ?
Ab mai maan leta hoo ki aapne
domain name purchse kar liya hai aur ab kis tarah se aap domain name ko apne
blog par set karenge ye dekhte hai . “ go to the Point “
First of all apne blog ki setting
me jaaye – Setting > Basic Setting
ab aapke saamne iss tarah ki window aayegi .
Blog setting window |
Basic setting me publishing
tab me blog address ke just neeche “+ Set
up a third-party URL for your blog “
ye likha hua hai iss par click kare. Jaise hi aap iss link par click karege iss
tarah ki window open hogi
domain write here and save |
Address box me us domain name ko
likhe jo apne godaddy se purchase kiya hai ab save button par click kare .
jaise hi aap save button par click karenge ek error widow aayegi jo iss tarah
hogi .
Domain name setting |
Upar di gayi window me 2 Cname
diye gaye hai in Cname ke dwara hi aap blog ko domain par redirect kar sakte
hai .
Cname Setting –
Cname two parts me diya hota hai -
1 .Name , label , host ( domain name service provide karne wai sites
me ye alag alag hota hai )
2 .Destination , Target , Point
to ( ye bhi alag alag sites me alag alag hota hai )
Aap jis site se bhi domain name
purchase karte hai un sabhi site me ye alag alag hota hai lekin hota hai two parts me hi. Yadi aap godaddy se
alag kisi aur site se domain name
purchse karte hai to ye dono parts aapko alag alag naam se milenge jaise 1. Name
ki jangah lable ya host likha mile to aapko wahi text likhna hai jo aapke
blog me name , lable , host ke neeche diya gaya hai same isi tarah 2. destination ki jangah target ya point
to diya ho sakta hai yaha par bhi aapko wahi text paste karna hai jo aake blog
me destination , target , point to ke neeche diya gaya hai
DNS Setting
First of all godaddy.com par jaaye aur apne user name aur password ke through log
in ho jaye ab DNS Management window me jaye yaha aapke saamne iss tarah ki
window open hogi .
Godaddy dns window |
Neeche ki taraf add button par
click kare cname ko choose kare
host box me
vah address paste kare jo blog me name , label , host ke neeche diya
gaya hai like ( www)
Points to box me vah text paste kare jo Destination , target , point to ke neeche diya gaya hai. Like (ghs.google
.com) ab save button par click
kare .
Same it (2nd Cname)
Add button par click kare aur cname ko choose kare aur
jaise upar kiya tha same isi tarah dusre
cname ko bhi paste kare . Sabhi setting kar dene ke baad blog me save button par
click kare . puri tarah se aapka blog purchse kiye gaye domain name par
redirect ho chukka hai kuch samay baad browser ke url bar me apna domain name
likhkar enter kare aapka blog domain name par redirect ho chukka hoga .
Feedback
Ye post aapko kaisi lagi mujhe comment kar ke jarur
bataye
Yadi iss post me kahi par aapko kuch samajh na aaya ho to
aap comment kar ke puchh sakte hai
No comments:
Write here your comment