How to Add Blog to Google Analytics
Welcome back again
on my Blog
Blog par kaafi post karne ke baad jab blog par
traffic kaafi aane lagta hai to prtyek blogger ke dimaag me yahi sawal aata hai
ki use uske blog par hone wali activity ke bare me pata chalta rahe mera matlab
ki kab koi user blog par aa raha hai aur kitni der blog par rah raha hai aur blog
ke kaun se page ko read kar raha hai. Yadi aap bhi apne blog ki activity ke
bare me jaanna chahte hai to aaj mai aapko bataunga kis tarah se aap apne blog
ki activity ke bare me jaan sakte hai “ Read carefully “
Aaj
mai aapko Google analytics ke bare me batane ja raha hu. Google analytics
google dwara di gayi ek aisi service hai
jiske madhyam se aap ane blog par hone wali activity ko check kar sakte hai. Aapke
blog par koi user kaun si country se hai , kaun si post padh raha hai , kul
kitne user active hai etc sabhi prkar
ki jaankari aapko google analytics se
aasani se mil sakti hai . ab sawal uthta hai ki kis tarah se apne blog ko
google analytics se link kar sakte hai to chaliye mai aapko batata hoo “
Follow my all steps “
Create Google analytics account ?
Apne blog ke data ko google analytics me show karane ke liye aapko google
analytics me ek account banana hoga google analytics me account bnane ke liye
aapko google analytics ki main window par aana hoga ab aapke samne sign
in ka ek button hoga us par click
kare jaise hi aap sign in par click karenge tabhi aapse aapka emai id
aur password puchha jayega yaha par aapko wahi email id aur password likhna hai
jis par aapko blog hai jab aap log in ho jayenge google analytics ki window iss
prkar aayegi.
Sabse upar dekhiye 4 menus diye gaye hai “Home , Reporting , Customization ,
Admin ” ab aapko ek account
create karna hai jiske under aap apne blog ko analize karoge account create
karne ke liye Admin menu par
click karenge ab admin menus 3 parts me open hoga “ Account , Property ,
View “ account me di gayi tab
par click karna hai jaisa ki upar picture me dikhaya gaya hai tab par click
karne ke baad create new account par click kare . jaise hi
aap create new account par click karenge aapke saamne iss tarah ki window open
hogi.
- yaha par apni pasand ka account name likhe
- uss blog/website ka naam likhe jise aap google analytics ki madad se analize karna chahte hai
- yaha par blog / ya website ka url likhe. url likhne se pehle ye check kar le ki apake blog/website ka url http se start hota hai ya https se.
Ab save par click kar ke account ko save kar le . Jab aap account ko save kar lenge aapko ek tracking id di
jayegi. Is tracking id ke dwara hi aap apne blog ko google analytics me analyze
kar paoge iss tracking id ko copy kar le aapko ye tracking id apne blog me set karni
hai .
How to set tracking id in blog ?
Ab aap google analytics se tracking id to prapt kar chuke hai
ab baaki hai ki tracking id ko blog me set kaise karte hai . to chaliye ye bhi
seekhte hai . tracking id ko blog me set karne ke liye apko apne blog ki setting me jana hia “ Follow this
Path “ Setting >
Other other setting ke meus
open ho jaane ke baad sabse neeche dekhe aapke saamne iss trah ke menus honge
.
Jaisa ki upar picture me dikhaya gaya hai ek box ke saamne Analytics
web property id likha hua hai iss box me aapko tracking id no
likhna hai analytics number likhne ke
baad save setting par click kare aapka blog google analytics me poori tarah se
analyze ho chuka hai ab aap apne blog ki activities ko google analytics me
check kar sakte ho .
Feedback
Aapko ye post kaisi lagi comment kar ke jarur bataye iss post
me kahi par apko kuch samajh na aaya ho to aap comment ke jariye puchh sakte
hai .
No comments:
Write here your comment