how to add social media buttons in blogger posts
Welcome back again on my
Blog
Social media aapke blog ke liye bahut jaruri hai .
inki help se visitor aapki post ko apne facebook account par shar kar sakte ya
apne dosto ke sath bhi share kar sakte hai prtyek post ke upar ya neeche social
media button hone chahiye taaki visitor aasani se post ko share kar sake . aaj
ki iss post me mai aapko social media buttons ko post ke neeche add karne ke
bare me bataunga .
Insert social media button |
Yadi aap apni sabhi post ko
facebook par share nahi karte ho to aapke blog par social media se traffic
bahut kam aayega apni sabhi post ko social media like facebook , twitter,
instagram , pinterest etc par share jarur kare . waise to aap blog ke sidebar
me ya bottom me bhi share button laga sakte ho lekin blog post me share button
lagane se aapke visitor bhi aapki post ko share kar sakte hai . to chaliye mai
aapko batata hoo kis tarah social media button post ke neeche lagate hai .
Blog post ke upar ya neeche social media button kaise lagate hai ?
Blog post ke upar ya neeche
social media button lagan eke liye neeche diye gaye steps ko follow kare .
“Follow these steps “
- first of all www.blogger.com par login ho jaye
- ab right side me template par click kare .
- edit html par click kare
- Html window me kahi par bhi click kar ke Ctrl+F press kare.
- search box me <data:post.body> paste kar ke enter kare.
- upar code box me diya gaya code copy kare .
- yadi social media button post ke upar chahiye to code ko <data:post.body> ke upar paste kare yadi social media buttons post ke neeche chahiye to code ko <data:post.body> ke neeche paste kare .
Ab apni kisi post ko open kar ke dekhe yadi trick kaam na
kare to dusre <data:post.body> code
ke neeche paste kare . yadi social media buttons post me na dikhai de iski
vajah hai temple me iss code ka bahut si jangah par hona . yah code template me
kai jangah par hota hai yadi ek code ke neeche code paste karne se social media
buttons post ke neeche na aaye to dusre code ko search kar ke uske neeche code
paste kare.
Feedback
Yadi aapko ye post aapko achhi lagi hai aur iss post se aapko
help mili hai to please comment kar ke jarur bataye . Blogging , internet , seo
, etc se related kisi bhi prkar ki jaankari ke liye comment kar sakte hai .
No comments:
Write here your comment