How to do default setting for youtube videos
Welcome back
agin on my Blog
Yadi
aap ek youtube partner hai aur har baar video upload karne par video
description , tags likhne se pareshan aa chuke hai to mai aaj aapko batane ja
raha hoo ki kis tarah se aap upload ki
jaane wali sabhi videos ke liye already descriptin aur tags set kare sakte hai
aisa karne se har baar aapko description aur tags nahi likhne honge. “
get ready for learn this topic “
Default setting |
Aksar aapne dekha hoga aur aapke saath bhi hota hoga ki jab
bhi aap youtube par video upload karte hai tabhi aapko video description aur
togs likhne hote hai . aur kyo likhne hote hai ye to aap jaante hi hai , yadi
nahi jaante to mai aapko bata deta hoo , yadi aap video descriptin aur tags
nahi likhenge to aapki videos search me nahi aayegi aur jab search me nahi
aayegi to aap youtube se paise kaise kama paoge.lekin youtube setting me aap in
sab ki default setting kar sakte hai . jab aap default setting kar denge aur nayi
video upload karenge tab automatic description aur tags box me vah description
aur tags fill ho jayenge jo aapne default setting me set kiye the
Default setting karne se pehle in sabhi baato ka dhyan rakhe
Abaut Descriptin
Jaisa ki aap jaante hi honge ki description me video ke bare
me bataya jaata hai ki video me kis prkar ka content hai matlab kis bare me
bataya gaya hai . jab aap default setting karte samay description likhenge tab
aapko description iss prkar ka likhna hai ki vah sabhi video ke liye common ho
jaise social media facebook , twitter ,
ingstram , etc ke follow link , webstie url
, 2-4 line apne channel ke bare me likhe ye sabhi video ke liye common hai . jab aap video
upload karoge tab aap isme editing kar sakte hai .
Abaut Tags .
Same isi prkar jaise maine aapko descriptin ke bare me
bataya hai . sabhi common tags likhne
hai jaise aapke channel ka naam , yadi aap computer se related video upload
karte ho to computer tricks, best computer tricks , learn computer etc aise bahut se keywords ho sakte hai ye
keywords aapke apne channel ke hisaab se likhne hai .
Youtube videos ki default setting kaise karte hai ?
Step -1
Youtube videos ki default setting ke liye sabhi steps ko
follow kare.
- youtube channel par apni gmail id se log in ho jaye.
- Page ke top par channel ka icon hai us par click kare
- creator studio par click kare.
- left side me likhe channel par click kare
- ab channel ke under kuch submenus open honge unme se default settings par click kare
Choose default setting |
Step -2
- Privacy – privacy me aapko public ko choose karna hai yadi aap apni video kisi ke sath share nahi karna chahte hai to aapko private choose karna hai . lekin aap youtube se paisa kamana chahte hai to aapko publc ko hi choose karna hai
- Category- iske under aapko us category ko choosekarna hai jis category ka aapka channel hai. Bahut si category yaha par available hai.
- License – yaha par aapko youtube standard license ko choose karna hai .
- Title ko blank chhod de kyoki prtyek video ka title alag hota hai .
- common tags likhe
- comment and rating –yadi aap chahte hai ki koi bhi aapke video par comment kar sake to all ko choose kare warna approved ko choose kare
- Monetization-yadi aap chahte hai ki aap jo bhi video upload kare vah automatic monetize ho jaye to ise check kare. Isko check karne se aapko har bar video ko monetize nahi karni padegi .
- Ad formats –yaha par 3 tarah ke ads diye gaye hai ,Overlay , skipable , sponsors , aapko jis prkar ke ads video par show karane hai choose kare.
- Ad breaks – ek video me ek se jyada baar ads show karne ke liye check kare isse aapki video ke beech me bhi ads show honge
- Video language – English ko choose kare .
configuration |
Baaki sabhi feature ko jyo ka tyo rehne de .
Channel ki default setting successfully ho chuki hai . check
karne ke liye kisi video ko upload kar ke dekhe jaise hi aap kisi video ko
upload karenge description , tags, monetizatin apne aap set ho jayenge aur
video upload karte samay aap inme editing bhi kar sakte hai .
Feedback
Ye post aapko kaisi lagi comment kar ke jarur bataye .
post me kahi par kuch samajh na aaya ho to comment ke puchh le . Internet ,seo
, bloging , youtube etc ki kisi bhi prkar ki jaankari ke liye comment kare.
No comments:
Write here your comment