How to add Adsnse ads in Blogger Post
Welcome back
again on my Blog
Google adsense online Best earning way hai . jiski
help se aap ek month me lakho rupees kama sakte hai lekin adsense se achhi
earning karne ke liye aapko adsense ki terms aur conditions ko follow karna
hoga. Aaj ki iss post me mai aapko bataunga ki
achhi earning karne ke liye adsense ke ads size kya rakhne chaniye aur
blog aur post me kaha par lagane chahiye
.
Add adsense ads |
Yadi aap ek new blogger hai to
please dhyan se samjhe . jab aap naya blog bana le us par high quality ki 10-20
post kare uske baad adsense ke liye
apply kare . adsense ke madhyam se paisa kamana bahut aasana hai . tops blogger
adsense ki help se lakho rupees kama
rahe hai aap bhi kama sakte hai . to chaliye ab mai apko batata hu ki aap kis
kis size ke ads post me use karenge .
Top 4 Adsense ads size
Link ad (200*90)
Prtyek post me link add jarur lagaye
kyoki link add hi ek aisa ad hai jo post ke content ke hisaab se add show
karata hai maan lo aapne youtube se related post ki hai to link ad me jo ads
show honge wo bhi youtube se related honge . aur link ad ek menus ki tarah hota
hai jis par click hone ke 80% chance hote hai . link ad ki length 200 px aur
height 90 px rakhe . Blog post me link ad ko kaha par lagye ? link add
ko post ke top par , kisi heading ke just upar , post ke last me , lagaye in
location par click jyada hone ke chance hai.
How to recover formatted SD Card and Hard Disk |
How to istall android apps in computer |
Banner ad (300*600)
Sabhi blogs me right or left side
me side panels hote hai side panel me large banner ad jarur lagaye kyoki
adsesne ke kuch ad aise hote hai jo large banner me hi show hote hai aur unki
cpc bhi high hoti hai blog ke sidebar me ek large banner ad jarur lagaye .
banner ki height 600 px aur width 300 px rakhe .
Responsive
Responsive ad sabse better hai
jaisa ki aap iske naam se hi samjh chuke honge . yah add space ke hisaab se
apne aap set ho jata hai aap ise post me , sidebar me , bottom me etc sabhi
jangah par laga sakte hai . iss ad ki ek khaas baat hai yah device ke hisaab se
ad show karta hai . yadi koi site ko tablet me open karenge to tablet ke hisaab
se ad show honge aur yadi koi mobile me site open karta hai to mobile ke hisaab
se ads show honge.
How to Save document to Google Drive |
How to Import bookmark in google chrome without Backup |
How to update aadhar card Adress Mobile number |
Rectangular (336*280)
Yah ad sabse jyada use hone wala
ad hai. Sabhi blogger ki sites par yah ad aapko dekhne ko milega . is ad ki cpc
bhi high hoti hai . square ad ko kaha par lagaye ? iss ad ka use aap sidepanel
me top par , post ke beech me kare to better hoga .
Yadi aap upar bataye gaye ads ka
use karenge to aapki income 100% increase hogi .Ad kaha par lagane hai aur kis
kis type ke lagane hai ye to mai aapko bata hi chuka hu . ad kaise banate hai
iss bare me bhi baat karte hai .
Adsense ad kaise banate hai ?
Follow all steps for create ad
code .
First of all apne adsense
account me log in ho jaye
Ab top par dekhe my ads ki ek tab
hai us par click kare ab new ads par click kare
Ab aapke saamne ek window open
hogi isme aapko ad name, style , size
etc fill karne hai
Title - title aisa choose kare jo aapke ad type ko dinot karta ho aur future me kabhi
bhi adsense account me jakar aasani se search kar sake for example – aapne 300*600 px ka ek ad
banaya to aap iska naam rakh sakte hai banner ad H600 W300 isse aapko ye
pata chal jata hai ki ad kis type ka hai
Recommended par click kar ke aap
custom ad bhi bana sakte ho . custom ad se matlab apne aap ad ki hight aur
width set kar sakte ho.
Ad type –adsense 3 type ke
ads allow karta hai 1. Text ad 2.
display ad 3. Text and display
Link ad me to aap keval link type
hi choose kar sakte ho lekin banner ad banate samay aapk text aur display ads
ko choose karna hai aisa karne se dono tarah ke ads show honge text bhi aur
display bhi.
Adsense ads Blog me kaise lagate
hai ?
Blog me adsense ke ads post ,
sidebar , widget me lagaye ja sakte hai .
Ads in post
Yadi post 700+ words ki hai to post me 4-5 ad laga
sakte hai aur in ads me kam se kam 3 ad link ad hone chahiye yadi aap sabhi
banner ads use karoge to apke blog ki loading
speed kam ho jaygi . yadi post me 500 word se kam hai to 3 ads hi lagaye jisme
2 link ad aur 1 banner ad ho .Post me ad kaise lagate hai ? post
complete kar lene ke baad post ko html mode me open kare aur jaha – jaha par ad
lagane hai waha par add code ko paste kare . html mode me post ko padhna
mushkil hota hai isliye composemode me pehle note kar le ki kaha par aapko ad
lagana hai uske baad html mode me open kar ke note keyword ko find kare aur
waha par code ko paste kar de .
Ads in sidebar
Side bar me adsense ads lagane ke
liye blog ke layout me jaye .
add gadget par click kare
ab ek window open hogi isme se html/javascirpt
ko choose kare .
new window open hogi yaha par ads
code paste kare aur save button par click kare.
Iss tarah se aap apne blog aur
blog post me adsense ads laga sakte hai . sabhi new bloggers ko mai ek bar phir
kahna chahunga ki upar batayi gayi sabhi tricks ko follow kare
How
to add facebook page like box to Blogger
|
Feedback
Aapko yah post kaisi lagi
comment kar k jarur bataye post se related koi bhi baat jo aapke samajh me na
aayi ho to comment kar ke jarur puchhe . mai aapki comment ka wait karunga ,
internet , seo, bloging etc se related kisi bhi prkar ki jaankari keliye
comment kare.
No comments:
Write here your comment