How to activate window 7
Welcome back again on my Blog
aap sabhi ne dekha hoga. ek maheene baad
window 7 me desktop background black ho jaati hai. aur desktop ke right bottom
side me kuch text likha aata hai. iski vajah kya hai aur jab bhi hum koi image
set as desktop background set karte hai to automatic kuch time ke baad phir se
desktop background black ho jaati hai aisa kyon hota hai aur iska solution kya
hai aaj mai iske baare me apko bataunga .
desktop background ke black
hone ki vajah hai window ka registered na hoga.
aapke computer me install window registered hai ya nahi ye kaise pata
karenge ? sabse pehle my computer ke icon par right click kare phir properties
par click kare jaise hi aap properties par click karenge aapke saamne iss tarah
ki window aayegi. iss windwo me right side me change setting likha hua hoga .
Unregistered Window screenshot |
hum sabhi local windwo ka
use karte hai jo ek maheene ke liye
trial hoti hai aur jaise hi window ko install kiye huye ek maheena hota hai window
dwara registration code maanga jaata hai.
Registration code kyon maanga jaata hai ?
sabhi window ka envent microsoft corporation dwara
kiya gya hai jo ek bahut badi compny hai . aur ye to aap jaante hi hai ki
prtyek compny profit kamane ke liye kaam karti hai apna product sale karti hai
paisa kamaane ke liye. isliye compny window ko customers ko sale karti hai aur
uske badle paisa leti hai. kaafi jyada keemat hone ki vajah se hum sab use nahi
khareedte hai . lekin microsoft dwara trial version internet par upload kiya
gaya hai jise koi bhi download kar ke use kar sakta hai. jaisa ki aap naam se
samajh gaye honge trial ka matlab hota hai kuch samay ke liye aur isi tarah
microsoft ne bhi trial version ka period 1 maheena rakha hua hai.
How to Activate window 7 ?
windwo ko activate kar ke
trial version ko original window me convert kiya ja sakta hai. windwo ko
activate karne ke liye aapko ek software ki jarurat padegi. jiska naam hai
window 7 activater. iss software ki help se window ko activate karna bahut
aasan hai software download karne ke liye neeche diye gaye download button par
click kare.
ab mai maan leta hu ki aapne
window 7 activater ko download kar liya hai. ab iss software ko launch kare
jaise hi aap launch karenge tab aake saamne iss tarah ki windwo open hogi. ab install now par click
kare jaise hi aap install par click karenge thodi der processing chalegi aur
kuch time ( 2min - 4 min) ke baad ek message aayega jisme likha hoga ki aapki
window successfully activate. ab computer desktop background par se text bhi
remove ho jayega aur aap desktop beckground bhi change ho jayegi.
Check Again window 7 is activate yes/no ?
same pehle ki tarah my
computer ke icon par right click kar ke properties par click kare ab aapke
saamne iss tarah ki window open hogi windwo ke right side me ek Blue color ki
shape hai jisme genune likha hua hai jo ek registere window me hi hota hai . ab
computer ki window activate ho chuki hai.. ab yeh window iss tarah ki dikhai degi
Feedback
Aapko ye post kaisi lagi comment kar ke jarur bataye. iss post me yadi
aapko kahi par kuch samajh na aaya ho to aap mujhse comment kar ke puch sakte
hai.yadi aap humari sabhi nayi post ki
jaankari email ke through prapt karna chahte hai to side me ek subscribe button
diya gaya hai apna email id box me likh kar humare blog ko subscribe kare.
No comments:
Write here your comment