How to Import bookmark in google chrome without Backup
welcome Back again on my Blog
ye to aap jaante hi hai ki
internet par bahut se browser availabel hai leki sabse best browser Google
chrome hai. mai hamesha google chrome ko hi use karta hu aur aaj google chrome
ke baarne me kuch khaas batane jaa raha hu jo shayad aap nahi jaante hai. ji
haa dost aaj ki iss post me mai aapko
bataunga ki kis tarah se aap bina backup liye apne sahbi bookmarks ko fir se
recover kar sakte hai.
Import bokmark |
jab internet par koi page ya
website aapko pasand aati hai to aap use bookmark kar lete hai aur jitne bhi
webpages ko aap bookmark karte hai to unki ek list browser ke top par ban jaati
hai. jaisa ki picture me dihaya gaya hai.
Main window |
ab maan lijiye kisi vajah se
aapse ye bookmark remove ho jaate hai ya kisi karnavash aap google chrome ko
uninstall kar dete hai , ya window ko change kar dete hai aise bahut se reason
ho sakte hai jiske vajah se sabhi bookmark lost ho jaate hai ab aise me kya
kare ya to aap un sabhi page par jaaye jinko aapne bookmark kiya tha aur unhe
phir se bookmark kare.aur yadi aap sabhi bookmark
ka backup le lete to koi problem nahi thi aap phir se bookmark ko import kar
sakte the par ab aapke paas bookmarks ki backup html file bhi nahi hai to aise
me aapko kya karna hai jisse sabhi bookmark recover kiye jaa sake to chaliye
mai aapko batata hu kis tarah se aap bhina backup liye bhi sabhi bookmarks ko
recover kar sakte ho . "Follow all steps with me"
Step- 1
Sabse pehle google chrome me
right side corner me diye gaye menu button par click kare jaise hi aap menu
button par click karenge aapke saamne iss tarah ki window open hogi
Window 7 |
ab picture me highlight kiye
gaye "sign in to chrome" par click kare jaise hi aap
iss par click karenge aapke saamne log in windwo open ho jayegi yaha par aapko
apni gmail id likhni hai Note - Gmail id wahi honi chahiye jiska use aap pehle
se kar rahe the mera matlab jab aapne bookmark save kiye the us waqt aap jis
email id ke through log in the .ab password likhkar log in par click kare.
Step - 2
jaise hi aap log in ho
jayenge sabhi bookmark automatic itna karne par bhi aa sakte hai yadi na aaye
to phir se google chrome ke right to par menu button par click kare ab setting
par click kare setting par click karne se google chrome ki setting open ho
jayegi setting me sabse upar sign in tab me "Advance sync setting "
ka feature available hai iss par click kare. ab aake saamne iss tarah ki window
open hogi
iss windwo me 9 feature
available hai aap jis jis ko import karna chahte ho us ko tick kar de jaise "
History , Bookmark , theme , Extention , setting etc." check karne ke
baad ok par click kare ab sabhi bookmarks, extetions, history ,setting etc google
chrome me import ho jayege
Feadback-
yadi aapko meri iss post se
help mili hai to please comment kar ke jarur bataye . Yadi post me kahi par
kuch samajh na aaya ho to comment karke
puch sakte hai humari aane wali sabhi nayi post ki jaankari apne inbox me paane
ke liye blog subscribe kare.
No comments:
Write here your comment