How to make a Bootable pendrive
Haay dosto support 4 ever me aapka
ek baar fir swagat hai aap sabhi ne lapto me cd ar dvd ke madhyam se window
install ki hogi . kya aapne kabhi pendrive se window install ki hai yadi nahi
to mai aaj aapko window ko pendrive se install karna sikhaunga.
Bootable pendrive |
Pendrive se window cd aur dvd se 10
guna jaldi install hoti hai. Yadi aap pendrive se window install karna seekhana
chahte hai to is post ko dhyan se padhe . laptop me pendrive se window ko
install karne ke liye aapko apni pendrive ko bootable banani padti hai aur
pendrive ko bootable banane ke liye aapko window ki dvd aur power iso ki
jarurat hoti hai
Recruitment software
1 Power ISO
2. Wintobootic
1st Work
Pendrive ko
bootable banana ke liye aapko window ki dvd ko laptop me lagakar use use open
kare ke Ctrl+A press kar ke sabhi select kar un sabhi file aur folders ko
copy kar le aur apne laptop me save kar le
2nd Work
Ab aapko ek
image file banana hai jiske liye aapko Power ISO naam ka software download karna hai jab aap
software ko apne computer me install kar lenge aur launch karoge tab aapke
saamne iss tarah ki window open hogi
1.yaha par aapko file and folder to
image ko choose karna hai
2. sabhi files ko select kare ke image file bana le.
Bootable pendrive banane ka tareeka .
Jab aap image file bana le tab aapko
wintobootic software ko launch karna hai
Jaise hi
aap wintobootic ko launch karenge aapke saamne iss tarah ki window
open hogi
- 1. Yaha par aapko us image file ko select karna hai jo image file aapne window cd me se nikali gayi sabhi file aur folder ki banayi thi
- 2. Yaha par aapko us usb ko select karna hai jisko aap bootable banana chahte hai
- 3. Bootable pendrive banane ke liye do it par click kare
Kuch time
processing chalne ke baad aapki pendrive bootable ban jayegi no thanks par click karne ke baad pendrive ko laptop se
nikaal le ab aapki pedrive bootable ban
chuki hai .
Pendrive se laptop or computer me window
install karna
Pendrive se window install karne ke liye apne laptop ko
shutdown kare aur usb port me bootable pendrive ko lagaye ab laptop ko start
kare jab lapto open hone lage apne laptop ke boot karne wali key ko dabaye
sabhi laptop ki boot karaane wali key alag alag hoti hai jaise hi aap boot key
ko dabayenge aapse boot device ko puchha jayega waha par aapko usb ko select
karna hai laptop me window install honi start ho jayegi
Aapko ye
post kaisi lagi hume comment ke madhyam se jarur bataye yadi aapko is post me
kuch samajh na aaya ho to aap hume comment kar ke apni problem humare sath
share kar sakte hai
Read Also
Read Also
No comments:
Write here your comment