How to Earn money from Youtube - Full Guide
Online paisa kamana bahut hi
aasan hai internet par bahut se aise tarike hai jinse aap onine paisa kama
sakte hai lekin youtube se paisa kamana sabse aasan hai. Yadi aap bhi internet ke
jariye ghar baithe paisa kamana chahte hai to is post ko dhayan se adhiye is
post me mai aapko bataunga kis tarah se aap youtube se paisa kama sakte hai .
Earn money by youtube |
Online paisa Kamane ka youtube
sabse achha tareeka hai khaas kar jab aap internet se paisa kamane ki shuruaat
kar rahe ho . apko youtube par ek channel banana hai aur apne channel
par kuch interesting video upload karni hai. In videos par google dwara kuch
ads show honge jinke aapko paise milenge . to chaliye mai aapko batata hu ki
kis tarah se youtube se paisa kamaya ja sakta hai aur yeh kis tarah kaam
karta hai
Sabse pehle apni gmail id se log
in hokar aapko youtube par ek channel banana hai aur us channel par
interesting videos upload karni hai channel kaise banate hai aur video kaise
upload karte hai ye mai aapko poori tarah explain kar ke bata raha hu.
Youtube par channel kaise banate hai ?
Youtube par channel banana bahut
aasan hai . sirf aapke pas ek gmail id honi chahiye uske through hi aap youtube
par apna channel bana sakte hai .yadi aapke paas gmail id nahi hai to pehle aap
gmail id bana le gmail id banana ke liye yaha click kare
Ab mai maan leta hoo ki aapne
gmail id bana li hai to chaliye ab youtube par channel banana seekhte hai
channel banana ke liye aapko www.youtube.com par jana hai . yaha par aapko right side ke top
me sign in likha hua dikhai dega jaise hi aap us par click
karenge aapse aapka gmail id aur password puchha jayega yaha par aapko apna
gmail id aur password insert kare ke sign in hona hai. Sign in hote hi aapka
youtube par channel ban jayega. Ab left side me my channel likha hua hoga us ar
click kar ke aapko apne channel par pahuchna hai. Ab aapke dimaag me ye question aa raha hoga ki
aakhir humare youtube channel ka naam kya hoga. To mai aapko bata du aapke
channel ka naam wahi hoga jo aapne gmail id banate samaya User name likha tha
yadi aap apne channel ka naam kuch different rakhna chahte hai to aapko apne
gmail account ke user name ko change karna hoga. Mai aapko suggess karunga ki
aap channel ke liye alag se ek gmail id banaye apni personal id ka use channel
ke liye na kare aur us gmail id ko banate samay user name wahi insert kare jis
naam se aap channel banana chahte hai .aap baad me bhi naam ko change kar sakte
hai par kyu na ise pehle hi thik kar liye jaye .
Youtube video par paise kaise deta hai ?
Youtube google ka hi ek program
hai jaha par aap video upload kar ke paisa kama sakte hai. Google adsense
google dwara chalaya gaya ek program hai jiska karya online advertising karna
hai jaisa ki aapne dekha hi hoga tv par vibhinn prkaar ke ads aate hai ye ads
tv par kaun dikhata hai ? ye ads tv par program chalane wale channel dwara
dikhaye jaate hai aur ye channel un sabhi company se jinke wo ads tv par
dikhate hai se paisa lete hai kyoki isse unke product ka vigyapan hota hai aur
unke product ki sales badhti hai. Same isi tarah google adsense bhi online
adverting ka ek program hai jo un sabhi
company se paisa leta hai jo apne product ka ad internet par karana chahti hai
. aur google in ads ko youtube par upload ki gayi videos aur website par
dikhata hai . aur jab bhi koi internet user in par click karta hai to google
aapko kuch iske kuch paise deta hai . lekin aapko ek baat ka dhyan rakhan hai
adsense ke liye aapko jab hi apply karn hai jab aapki videos par acchhe views
ho jaye . jab aap video upload kar denge aur apki video par 500 se jyada view
ho jayenge tab aap adsense ke liye apply kar sakte hai
Youtube par video kaise upload karte hai ?
Aapne youtube par channel to bana
liya hai ab baat aati hai apne channel par video upload karne ki to chaliye
video upload karna bhi seekhte hai . jab aap apne youtube channel me aa
jaoge tab right side me top par side me diye gaye button jais upload ka button dikhai dega, video upload
karne ke liye aapko iss par click karna hai jaise hi aap is par click karenge
aake saamne iss tarah ki window open hokar aayegi .
Main window |
Arrow ke button par click karenge
tab aase video ko choose karne ke liye kaha jayega . aapke computer me jaha par
bhi aapki video save hai waha se aapko use select karni hai ab aapke saamne iss
tarah ki window open hogi
Video Configuration |
1. Video
Title - Yaha par aapko apni video ka title likhna hai. Video ka title
simple aur padhne me aasan hona chahiye
aur video ke content se milta julta hona chahiye aisa kabhi na kare ki
video me kuch aur bataya gaya hai aur title kuch aur likha hai aisa karne se
aapke channel ke traffic par effect padega
2. Video
Description – video description bahut jaruri hai ise ignore na kare
khaas kar new user ise ignore kar dete hai aur baad me poochhte hai ki humari
video view kyo nahi ho rahi hai to yaad rahe description write in every video .
video configuration par me ek alag se post likhunga jisme mai aapko video
upload karte samay ki configuration ke bare me bataunga
3. Video
Tags – video tag video ko search result me achhi rank dilane ke liye
bahut jaruri hai aur aap ye bhi jaante
hai jitni achhi aapki video rank hogi utni hi achhi apki income hogi , video
tags kya hai iske liye mai aapko apni next post me bataunga abhi sirf itna bata
deta hu ki tags me aapko apne video title se milte julte word likhne hote hai
4. Video
thumbnail- aap youtube par jo bhi video upload kare uska ek custom
thumbnail bana le aisa karne se aapki video achhi lagegi aur ek baat ka dhyan
rakhe thumbnail khubsurat banaye taki use dekhkar hi visitors aapki video ko
dekhne ke liye majboor ho jaye .
5. Playlist-
aap kis kis type ki video apne channel par upload karte hai un sabhi ki
category banaye. Mera matlab jaise aap computer aur mobile tricks ke bare me
video upload karte hai to dono ki playlist alag alag banaye jisse visitor ko ye
pata chal sake ki aapke channel par kis kis type ki video upload ki gayi hai .sabhi configuration karne ke baad video ko publish kar dena hai .
Kis kis tarah ki video youtube par upload nahi kar sakte ?
Video upload
karne se pehle aapko neeche di gayi warning ko apne dimaag me rakhna hai
1.
Sex
(Adult) video ko aap youtube par upload nahi kar sakte.
2.
Kisi ki ladaai jhagde ki video ko aap youtube
par upload nahi kar sakte.
3. Kisi bhi aisi video ko jo pehle se internet par
maujood ho. Yadi aap aisa karte hai to yeh copyright mana jayega aur aap apni
videos se income nahi kar payenge.
No comments:
Write here your comment