Top 5 Tips to increase Youtube video ads CPC
Welcome
Back Again on my Blog
Yadi aap Youtube
ke madhyam se paisa kamana chahte hai aur Youtube par channel bhi bana chuke hai aur video bhi lagataar
upload kar rahe hai par income achhi nahi ho paa rahi hai bahut se Youtuber ne
mujhse se sawal kiya hai ki mai lagatar video upload kar raha hu aur mere
channel par 500+ video upoad hai par per ad CPC 0.002$ ya 0.001 hai aur kuch Youtuber
ne mujhse ye sawal bhi kiye hai ki humare daily views bahut jyada hai lekin
bhir bhi income nahi ho rahi hai un sabhi ke sawalo ka jawab me is post me de
raha hu . yadi aapke saath bhi yahi problem hai to iss post se aapko bahut
madad milegi isliye iss post ko dhyaan se padhe .
-
Top 5 Tricks |
Video upload
karte samaya hum aisi bahut si galtiya karte hai jiska effect humari income aur
views par padta hai aur humari video rank me nahi aa pati hai . aisi hi kuch
galtiyo ke bare me mai aaj aapko bataunga . lekin usse pehle
Youtube ki kuch
khaas baato ko bata doo. Yadi aap Youtube se acchi income karna chahte hai to
iss prkar ki sabhi koshise karo jo aapki video ko Youtube search me achhi rank
dila sake . kyonki aap jaante hai jitni achhi rank aapki video ki hogi utne
jyada views honge aur CPC bhi increase hogi.
Aksar log yahi sawal karte
hai ki mere channel par show hone wale ads ki CPC kam kyon hai to mai
aapko bata du aapke ads ki CPC aapki video rank par depand karti hai
yadi aapki video ki rank achhi hogi to apke channel par show hone wale ads ki CPC
bhi jyada hogi seedhe sahbdo me jaise
jaise video rank badhegi CPC bhi increase hogi . chaliye ab mai aako un sabhi
galtiyo ke bare me bata deta hu jo aksar kar naye Youtuber karte hai. Yadi aap
is sabhi galtiyo ko sudhar lete hai to yakeenan aapki income achhi increase ho
jayegi.
Very
Important Tips don’t ignore.
1.
Video title – aksar log video ka title
ulte seedha likh dete hai. Dhyan rahe hume us user ke hisaab se title likhna
hai jo use search karega apne hisaab se likha gaya title bekar hai jab aap
title likhne se pehle ache se soche ki aakhir jis topic par aapne video banayi
hai us topic par koi vyakti kya search
kar sakta hai ye pata karne ke liye aap google ki help bhi le sakte hai .video tile video content ke anusar hona
chahiye bhoolkar aisa na kare ki video me kuch hai to title kuch aur likha hua
hai .
2.
Video Description- jyadatar Youtuber ise
ignore kar dete hai jiska khamyaja unhe bhugatna padta hai unki video par
taraffic hi nahi aat hai . video description video ko search me lane ke liye
most important hai to please yadi aap achhi income karna chahte hai to ise
ignore na kare . video description kaise likhe ? video description me sabse pehle
video title ke kuch most important keyword likhe mera matlab title ke aise
words jo video ko dinot karte hai ki ye video kis bare me hai uske baad video
ke bare me short information de jo lagbhag 4-5 line ki ho. Uske baad apne Youtube
channel ka subscribe link , twitter link , facebook like link , etc social
media ke link de yadi video me kisi software ke bare me bataya gaya hai to us
software ka download link dena na bhoole kyoki lagbhag sabhi Youtube watcher
jab kisi computer ya mobile trick ke bare me dekhte hai to video ke description
me download link jarur dekhte hai .
3.
Video Tags – description ke bilkul neeche
video tags ka box hota hai is box me aapko apni video se related un keywords ko
likhna hai jinse aapki video search result me show ho sakti hai jaise “Youtube
se video kaise download karte hai “ key tag me likhe jaane wale
keywords hai “ Youtube ki video kaise download kare “ , Youtube se
video kaise download kare bina kisi software ke” ,“download Youtube
video” , “download video from Youtube” , “ how to download Youtube
videos without any software” etc. iss tarah ke keyword apni video se milte
julte keyword tags me likhne hai sath hi apne Youtube channel ka naam jaruru
likhe .
4.
Video thumbnail –apni har video ka
thumbnail banaye thumbnail kya hota hai ? ek aisi photo jo apki video content
ke bare me batati ho is photo ko video thumbnail banaye vaise to jab aap video
upload karte hai to Youtube video me se 3 jangho se screen capture kar ke
thumbnail create kar deta hai lekin aapko apne aap ek achi si image banana hai
aur image me apne video content ke title se related kuch words likh dene hai. Kyon
ki prtyek user video ke thumbnail ki banawat ko dekhkar hi aakarshit ho jata
hai to please ek acchi thumbnail banaye .
5.
Playlist - yadi aap ek se adhik topic par video upload
karte hai to. Prtyek topic ki ek playlist banao aur har playlist me uski
category ki video dalo. Isse jitney bhi user aapke channel ko visit karne wale
honge ve sabhi aur naye user bhi aapke video category wise aasani se dekh
sakenge aur unhe jis category ki video dekhni hogi usi playlist ko open kar ke
dekh sakenge.
Feedback
Aapko ye post kaisi lagi mujhe comment kar ke jarur bataye
yadi aapko post me kuch samajh me na aayi ho to
aap mujhe comment kar ke apne sawal ka jawab parapt kar sakte hai yadi
aap humari sabhi post se update rehna chahte hai to side me diye gaye box me
apna email id likhkar humare blog ko subscribe kare .
No comments:
Write here your comment