Header Ads

Breaking News
recent

How to add category widget in Blogger



Welcome back again on my Blog

Category widget ki blog me bahut value hoti hai yadi aap apne blog me category widget nahi add karte ho to aapke  sabhi visitors ko apni man chahi post  khojne me problem hogi jiski vajah se aapke blog par koi bhi visitor dobara nayi aayega kyoki aapke blog par uski manchahi category ki post nahi mil paati hai aaj ki iss post e mai aapko yahi batane wala hoo ki kis tarah se aap apne blog me category widget add kar sakte hai . “ all new blogger read carefully this post “
add category widget in blogger
add category widget


Sabhi new blogger se meri yahi salah hai ki ve sabhi apne blog me category widget jarur laga le kyoki blog par category widget ka hona bahut jaruri hai aur jaruri kyo hai ab aap ye samajh bhi chuke hai to chaliye ab mai aapko batata hoo kis tarah se category widget add karte hai .


 How to add Category widget in blog ?

Blog me category widget lagane ke liye neeche diye gaye steps ko follow karna hai .

Step -1
  1. sabse pehle blogger.com par login ho jaye.
  2. ab blog ke layout me jaye.
  3. blog me jaha par aapko category widget lagana hai waha par add gadget par click kare
  4. ab ek popup window open hogi usme se link list ko choose kare. Neeche picture dikhai gayi hai.


add category widget in blogger
chose link list


Step-2

Ab aapke saamne ek nayi window open hogi jo iss tarah hogi  “ I am explain it “



  1. title me aapko menu likhna hai by default isme menu likha hota hai
  2. yadi aap category items ki limit set karna chahte ho to yaha par item number likhe  like total category “6” to category widget me keval 6 category hi show hogi  yadi koi limit nahi rakhna chahte to ise blank chhod de.
  3. category ka naam likhe like “ bloging , adsense , computer tricks , mobile tricks , internet etc “ jaise maine apne blog me right side me category banayi hui hai aap chaho to dekh sakte ho
  4. category ka url paste kare ab aapke mind me ye sawal aa raha hoga ki category ka url kaha se aayega to iska jawab hai . “label url “  bloging post se related post me maine aapko bataya tha ki aapko prtyek post ke liye lable ko choose karna hai label bhi ek tarah se category hi hote hai aapne jo labels banaye hai unke link prapt kare aur unhe one by one yaha par paste kare
  5.  new link add karne ke liye yaha click kare “add link” ki help se aap bahut se link add kar ke category create kar sakte ho.
  6. save button par click kar ke category ko save kar le



Ab blog ko view kare aur dekhe jaha par aapne widget ko add kiya tha waha par category kuch is tarah dikahi degi .


category
category screenshot


Feedback


Yadi aapko iss post se thodi bhi help mili hai to please comment kar ke jarur bataye aur iss post me kahi par kuch samajh na aaya ho to comment kar ke puchh sakte ho .

No comments:

Write here your comment

Powered by Blogger.