Header Ads

Breaking News
recent

How to Save document to Google Drive




        Jindgi ka har lamha bahut khubsurat hai aur prtyek vyakti sabhi yaado ko kaid kar ke rakhna chahta hai. Aapki jindgi me bahut si aisi yaade hogi jinhe aap kabhi bhulna nahi chahte ve yaade college time kisi program , shaadi , travelling , kisi bhi prkaar ki ho sakti hai , aur jab bhi apki jindgi me aisa time aata hai to aap  un lamho ko kis tarah se kaid karte hai ? aapka jawab yahi hoga photo capture kar ke ya video banakar aur aap unhe humesha apne paas save kar ke rakhte ho. Aur aapke mind me ye sawal jarur aayega  ki kahi galti se ye lost na ho jaye kyon ki yadi aap unhe apne computer ya mobile me save rakhoge to iski koi guaranty nahi hai ki aapke mobile ka data hamesha save rahega kabhi delete nahi hoga. Data kab delete ho jaye ye pata nahi hota. Aaj mai iss post me apne data ko internet par save karne ke bare me bataunga kyon ki  waha se aapka data kabhi loss nahi hoga. Aap jab chaho apne data ko download kar sakte ho. Internet par aap apni important photo hi nahi balki apni business document bhi save rakh sakte ho. “ Go to the point “


save document to google drive
Save document on google drive


Waise to bahut si aisi website hai jaha par aap apne documents ko upload kar sakte ho lekin sabe jyada better hai Google drive google drive google dwara di gayi ek aisi service hai jiske madhyam se aap apne document ko safe rakh sakte ho .

Google Drive Using Rcruitment  ?

Google drive ko use karne ke liye keval ek gmail id ki jarurat hoti hai . yadi aapko paas gmail id nahi hai to pehle ek gmail id bana le uske baad hi aap google drive ka use kar sakte ho . gmail id banana ke liye yaha click kare.

Storage Capacity ?

Document ko save karne ke liye google aapko 15 GB storage capacity deta hai jo kaafi hai kyon ki aap jaante hi hai ki koi bhi text document maximum 5 MB ka hota hai aur aise na jaane kitne document aap 15 GB me save kar sakte ho.



Upload File Type ?

Google drive me aap sabhi prkar ( jpg , mp3 , psd , pdf , mp4 , txt , html etc .) sabhi prkar ki file upload kar sakte ho. Aur aap google drive ko mobile me bhi use kar sakte hai. Mobile me use karne ke liye aapko play store si google drive ki apps download karni hogi. Maximum mobiles me yah apps pehle se hi install hoti hai .

How to use it ?

Jaisa ki upar bataya gaya hai ki google drive ka use karne ke liye aapke paas ek gmail id honi chahiye aura b mai maan leta hu ki aapne gmail id bana li hai . to chaliye ab  google drive ka use karna seekhte hai . “Follow my steps “
Step – 1

Apne computer me  google chrome ko open kijiye ab left side ke top corner par bookmark bar me apps likha hua hota hai us par click kijiye. Jaise hi aap iss par click karenge aapke saamne iss prkar ki window open hogi .

        
save document to google drive
Choose google drive

Step- 2

Yadi aap gmail id ke through pehle se log in nahi hai to aapke samne ek log in window aayegi isme aapko apni gmail id aur password likhkar sign ho jaana hai. Jab aap sign in ho jaoge tab aapke saamne iss tarah ki window open hogi .

                                                               
save document to google drive
Document drop window

Step – 3


  1. top par diye gaye blue color ke new button par click kare ke aap naye folders bana sakte ho.
  2. jis folder me file ko upload karni hai uss folder ko opne kar le jaise  upar picture me dikhaya gaya hai.
  3. jab aapki file upload ho jayegi folder me iss tarah show hogi.
  4. File ko upload karne ke liye file ko arrow par drop karna hai jaise hi aap file ko drop karoge file uploading start ho jayegi.





Feedback


kjvvvvghjkujjkklolo

No comments:

Write here your comment

Powered by Blogger.