Header Ads

Breaking News
recent

How to Import bookmark in google chrome without Backup



welcome Back again on my Blog

      ye to aap jaante hi hai ki internet par bahut se browser availabel hai leki sabse best browser Google chrome hai. mai hamesha google chrome ko hi use karta hu aur aaj google chrome ke baarne me kuch khaas batane jaa raha hu jo shayad aap nahi jaante hai. ji haa dost  aaj ki iss post me mai aapko bataunga ki kis tarah se aap bina backup liye apne sahbi bookmarks ko fir se recover kar sakte hai.



import bookmark
Import bokmark 

jab internet par koi page ya website aapko pasand aati hai to aap use bookmark kar lete hai aur jitne bhi webpages ko aap bookmark karte hai to unki ek list browser ke top par ban jaati hai. jaisa ki picture me dihaya gaya hai.


import bookmark
Main window


ab maan lijiye kisi vajah se aapse ye bookmark remove ho jaate hai ya kisi karnavash aap google chrome ko uninstall kar dete hai , ya window ko change kar dete hai aise bahut se reason ho sakte hai jiske vajah se sabhi bookmark lost ho jaate hai ab aise me kya kare ya to aap un sabhi page par jaaye jinko aapne bookmark kiya tha aur unhe phir se bookmark kare.aur yadi aap sabhi bookmark ka backup le lete to koi problem nahi thi aap phir se bookmark ko import kar sakte the par ab aapke paas bookmarks ki backup html file bhi nahi hai to aise me aapko kya karna hai jisse sabhi bookmark recover kiye jaa sake to chaliye mai aapko batata hu kis tarah se aap bhina backup liye bhi sabhi bookmarks ko recover kar sakte ho . "Follow all steps with me"



Step- 1

Sabse pehle google chrome me right side corner me diye gaye menu button par click kare jaise hi aap menu button par click karenge aapke saamne iss tarah ki window open hogi


import bookmark
Window 7



ab picture me highlight kiye gaye "sign in to chrome" par click kare jaise hi aap iss par click karenge aapke saamne log in windwo open ho jayegi yaha par aapko apni gmail id likhni hai Note - Gmail id wahi honi chahiye jiska use aap pehle se kar rahe the mera matlab jab aapne bookmark save kiye the us waqt aap jis email id ke through log in the .ab password likhkar log in par click kare.





Step - 2

jaise hi aap log in ho jayenge sabhi bookmark automatic itna karne par bhi aa sakte hai yadi na aaye to phir se google chrome ke right to par menu button par click kare ab setting par click kare setting par click karne se google chrome ki setting open ho jayegi setting me sabse upar sign in tab me "Advance sync setting " ka feature available hai iss par click kare. ab aake saamne iss tarah ki window open hogi

import bookmark

important bookmark

         
iss windwo me 9 feature available hai aap jis jis ko import karna chahte ho us ko tick kar de jaise " History , Bookmark , theme , Extention , setting etc." check karne ke baad ok par click kare ab sabhi bookmarks, extetions, history ,setting etc google chrome me import ho jayege

Feadback-  

yadi aapko meri iss post se help mili hai to please comment kar ke jarur bataye . Yadi post me kahi par kuch samajh  na aaya ho to comment karke puch sakte hai humari aane wali sabhi nayi post ki jaankari apne inbox me paane ke liye blog subscribe kare.


No comments:

Write here your comment

Powered by Blogger.