Header Ads

Breaking News
recent

How to change Blog Template




Welcome back again on my Blog

Template ka khubsurat hona same usi tarah hai jis tarah se aapke liye ache kapde . jis tarah ache kapde aapki personality ko dinot karte hai same isi tarah aapke blog ki personality ko blog ki template dinot karti hai. Yadi aapke blog ki template achhi nahi hogi to visitor aapke blog me interest anhi rakhenge jiski vajah se aapke blog par traffic bhi nahi aa payega . aaj ki iss post me mai aapko blog template ke bare me hi batane wala hoo kis tarah blog ki template change karte hai aur blog ke liye template kaha se download karte hai in sabhi ki bare me mai iss post me aapko bataunga so  Read Carefully “


Khaaskar naye blogger new blog to bana lete hai aur apne blog me ache ache article bhi likhne start kar dete hai lekin result kya hota hai ? kuch time ke baad jab unke blog ko achha traffic nahi mil pata hai to ve blogging chhod dete hai uski vajah kya hai ? iski main vajah hai blog ka look thik na hona. New blogger bas earning par dhyan dete hai kisi tarah bas ek din me 10-20$ milne lage jiski vajah se ve post likhte jaate hai aur apne blog ki designing par bhi dhyan nahi dete hai jiska result yahi hota hai ve nirash hokar blogging chhod dete hai . yadi aap bhi new blogger hai to please mai yahi kahunga ki earning ki parvah na kare bus mehnat kare . ye to aap jaante hi hai ki jaisi mehnat vaisi kamai . to aur baate phir kabhi ab apne topic par chalte hai. “ Goto the Point “




Blog me template kyo lagani chahiye ?

Yadi aap ek success blogger banna chahte hai aur blog par high traffic pakar achhi income karna chahte hai to aapko apne blog ki template ko change karna hoga . template first way hai hai blog ke traffic ko badhane ka. So plese change the blog template.



Blog ke liye template kaha se download kare ?

waise to internet par bahut si site available hai jo blog template service deti hai phir bhi mai kuch website ke naam neeche de raha hoo jaha se aap high quality ki template download kar sakte ho .





Search Template Yourself

yadi upar di gayi kisi website ko aapke hisaab ki template nahi mili hai to aap apne aap bhi google me template search kar sakte ho . sabse pehle google ko image search mode me open kar le ab google search box me “Blog templates “  likhe ab aapke saamne blog templates ke bahut se images aa jayenge . iss tarah search karne se aapko template ka look bhi dikh jata hai sabhi image me se jo template aapko pasand aaye us par click kare ab visit page par click kare click karne se aap uss website par pahuch jayege jis website par vah available hogi. waha se aap use download kar sakte hai .


Blog template change karne se pehle in baato ka dhayan rakhe

Aapne jo template pehle se blog me apply ki hui hai us template ka backup le le . yadi aap blog template ka backup nahi lete hai to aapki pehli template lost ho jayegi jo aapke liye bahut galat sabit ho sakta hai . ab maan lijiye aapne blog template ka backup liye bina kisi anya template ko blog par upload kar diya lekin yah template aapko pasand nahi aayi hai to aap aise me kya karoge . kyon ki aapki pehli template to lost ho chuki hai aap use dobara prapt bhi nahi kar sakte to plese doosri template upload karne se pehle backup jarur le le .



Blog template ko kaise change karte hai .

follow these steps “ for change the blog template .

  1. www.blogger.com par login ho jaye
  2. ab bogger dashboard par jaaye
  3. blog ke left side me template par click kare
  4. ab page ke right side me top corner me   Backup/Restore  button par click kare ab aapke saamne iss tarah ki window open hogi .






  1. nayi template ko apply upload karne se pehle template ka backup lene ke liye download template par click kare.
  2. choose file button par click kar ke  downloaded template ko choose kare .
  3. Upload button par click kare
  4. Jab file upload ho jaye close button par click kare
Blog par template apply ho chuki hai view blog par click kar ke template ka look dekh sakte hai




Feedback

Yadi aapko ye post achhi lagi hai to please comment kar ke jarur bataye . post me kahi par kuch samajh na aaya ho to comment kar ke jarur puchhe . blogging , internet , youtube , etc ki adhik jaankari ke liye comment jarur kare.




No comments:

Write here your comment

Powered by Blogger.