Header Ads

Breaking News
recent

How to add subscribe Button on Youtube video







Welcome back again on my Blog

Youtube channel ki rank ko improve karne ke liye subscribers kitne important hai ye to aap jaante hi hoge . aaj ki iss post me mai aapko batane ja raha hoo kis tarah se aap apne youtube channel ki videos me subscribe button laga sakte hai . new youtubers iss post ko dhayan se padhe “ Read carefully “


add subscribe button in youtube video
Insert subscribe button


Apne channel ki rank ko improve karne ke liye hum na jaane kitne jatan kartehai , video ko facebok , google + , instagram , twitter etc par share karana ye sab normal si baate hai aur sabhi karte hai aur aapko bhi karni chahiye . par aaj jo mai aapko batane ja raha hoo wo different hai humare channel par jintne jyada subscribers honge channel par utna jyada traffic aayega aur aapke channel ki visitors ki nazro me value bhi increase hogi . sath hi aap ek baat ka dhyan jarur rakhe koi aapke channel ko subscribe bevajah nahi karega . aapka channel tabhi subscribe kiya jayega jab aap apne channel par kuch acchha upload karoge isliye channel par jitni bhi video upload kare un sab me aapka talent dikhna chahiye .



Jab aap ek blog banaye to sath hi ek youtube channel bhi bana le aur apni post se related video apne channel par upload karte rahe taaki aapke blog ke sabhi readers ko topic ko samajhne me aasani ho . ab maan lijiye kisi visitor ko aapki koi post ache se samajh nahi aayi to vah video dekhkar asani se samajh sakta hai isse aapke blog aur channel ki value aur rank dono increase hogi aur saath hi aapki income bhi double ho jayegi ek youtube channel se aur ek blog se . to chaliye aur baat phir kabhi karenge ab apne topic par chalte hai “ Go to the Point “


Youtube video me subscribe button lagane ke kya faayde hai ?

New visitor video ke dekhte samay hi aapke channel ko subscribe kar sakta hai . channel subscribe karne ke liye visitor ko aapke channel par bhi jaane ki jarurat nahi hoti hai . maan lijiye kisi viewer ne youtube me aapki video se related video search ki aur aapki video par aa gaya aur jab vah aapki video dekhata hai aur use video pasand aati hai aur vaha chahta hai ki  aapke channel par jo bhi video update ho use pata chal jaye to vah  video me diye gaye subscribe button par click kar ke aapke channel ko subscribe kar sakta hai .

Recruitment

  1. Subscribe image internet se download kar le
  2. Image ki format PNG or GIF honi chahiye  kisi other format me image nahi hona chahiye.
  3. Image transparent hona chahiye
  4. Image ka size maximum 1 mb or less then hona chahiye.

Youtube video me subscribe button kaise lagate hai ?

 “ Follow these steps “  for add subscribe button in youtube video

  1. Youtube video me subscribe button lagane ke liye www.youtube.com par log in ho jaye
  2. My channel par click kare
  3. Right side me top par aapke channel ka  icon aa raha hoga us par click kare jaise hi aap icon par click "karenge aapke saamne iss parkar ki window open hogi."


  • Creator studio par click kare .
  • Left side me diye gaye channel par click kare.
  • Ab channel ke under kuch submenu open honge unme se Branding  ko choose kare.
  • Ab ek add watermark ka blue button aayega uss par click kare.

"Ab aapke saamne iss prkar ki window open hogi "
.
insert subscribe button in youtube videos
Choose subscribe picture

  • Choose file par click kare aur  uss image ko choose kare jo image aapne internet se download  ki thi .
  • Jab image upload ho jaye save button par click kare .

"Ab aapke saamne iss parkar ki window open hogi ."


how to insert subscribe button in youtube videos
Example window


Jis tarah upar picture me bottom corner me subscribe button dikhaya gaya hai same isi tarah yah button video me dikhai dega check karne ke liye aap apki koi video play kar ke dekh sakte hai .




Feedback

I hope aapko ye post pasand aayi hogi yadi aapko ye post pasand aayi hai aur aapko iss post se kuch help mili hai to please comment kar ke jarur bataye  bloging , internet , youtube ke bare me kisi bhi parkar ki jaankari ke liye comment kare .








No comments:

Write here your comment

Powered by Blogger.