Header Ads

Breaking News
recent

How to Change Youtube Channel URL



Welcome Back Again on my Blog

Youtube channel url ko change karna bahut hi aasan hai aur aaj mai iss post me aapko iss bare me hi batane wala hoo. Lekin usse pehle custom url ke bare me bata doo ki iske kya faayde hai. Yadi aap ek new youtuber hai to iss post ko dhyan se padhe .”Read Carefully”



change url
Change url



why faithfull a custom cahnnel URL ?

aapke channel ko visit karne wale prtyek vyakti ko aapke channel ka url kabhi yaad nahi rah sakta kyoki by default Url elphabate aur numbers se milkar bana hota hai for Example – " http:/www.youtube.com/support4ever45jh54gdl75dj "  iss type ka hota hai jo yaad karna asan nahi hai yadi aapke channel ka URL kuch iss tarah ho jaise http:/www.youtube.com/support4ever jo yaad rakhne me bahut aasan hai aur padhne me bhi ise kehte ha hum custom url . google aapko authority di hai ki aap apne channel ka url change kar sakte ho lekin usek liye google ne kuch sharte rakhi hai jo iss prkar hai -

  1. 100+ subscriber
  2. channel art upload kiya hona chahiye
  3. channel kam se kam 30 days old hona chahiye
  4. channel icon laga hona chahiye


Yadi upar di gayi kisi ek shart ko bhi aapka channel poori nahi karta hai to aap channel ka url change nahi kar sakte. Yadi aapka channel in sabhi sharto ko poora karta hai to aap channel ka url change kar sakte hai . channel ka url kaise change karte hai ye mai aapko batata hoo. “ follow my all Steps”

How to change youtube channel URL ?

Sign in Your Youtube Accout  apne youtube account me sign in ho jaye . jab aap youtube channel me sign in ho jayenge top corner par aapke gmail id ka icon aa raha hoga us par click kare jaise hi aap icon ar click karenge aapke saamne ek small window open hogi setting gear icon par click kare .


change youtube channel url
Configuration window 


Ab aapke saamne youtube channel configuration window open hogi iss window me jaha par aapke channel icon hai  just uske right side me advance  likha hua hai aapko uss par click karna hai jaise hi aap advance par click  karnege aapke saamne iss tarah ki window open hogi .


change url
window 1


Channel setting ke just neeche 2 lines hogi -

  1. you are eligible for custom URL claim it here
  2. our custom URL system has changed Learn more


yadi aapke paas 100+ subscribers nahi hai to channel setting ke just neeche keval “our custom URL system has changed Learn more”  ye line hi aayegi jaise hi aapke paas 100+ subscribers ho jayenge 1st line automatic aapke account me aa jayegi
ab first line ke last me likhe here  par click kare jaise hi aap here par click karenge aapke saamne iss tarah ki window open hogi .



Upar picture me 2 URL dikhaye gaye hai .

1.       Youtube channel url (youtube.com/c/study2videos)
2.       2.Google+ URL (youtube.com/c/study2videos)

In dono ke just neeche 2 Radio button diye gaye hai jinka use alag alg hai mai in dono ko explain karta hoo.

1. study2videos

Yadi aap keval apne channel ke naam se hi url create karna chahte hai  jaise “maine apne channel ka naam rakha hua hai youtube ke baad slace laga hai aur uske baad channel ka naam hai “ to ise choose kare


2.study2videos add a suffix of your choosing

Isko aap tab choose karoge jab aap apne channel ka url channel ke naam ke saath koi word ya number jodna chahte ho. For Example- mere youtube channel ka url “ youtube.com/c/study2videos” hai lekin mai isko “youtube.com/c/study2videos123” ye rakhna chahta hu tab aap iska use karenge . isko choose karne se aapse vah word likhne ke liye kaha jayega jise aap apne chaanel ke url me apne channel name ke baad me jodna chahte ho. Lekin mai aapse yahi kahunga ki aap no. 1 ko hi choose kare kyoki ye better hai aapke channel ka url poori tarah se aapke channel ko denot karta hai . ab change url par click kare aur choice confirm par click kare . ab aap dekh sakte ahi ki aapke channel ka url change ho chukka hai .





Feedback

Ye post aapko kaisi lagi comment kar k jarur bataye is post se related yadi aapki koi query hai to aap comment kar ke pooch sakte hai .



No comments:

Write here your comment

Powered by Blogger.