Header Ads

Breaking News
recent

Verify your address in google adsense



Welcome Back Again on my Blog

Google first payment dene se pehle aapka address verify karata hai yadi aap apne account ko verify nahi karate hai to google aapki site par ads show karane band kar deta hai yadi aapke account me 100$ se bhi jyada hai tab bhi aap unhe withdraw nahi kar sakte. Old adsense user to ye sab jaante hai lekin naye adsense user iss post ko dhyan se padhe kyon ki mai iss post me address verification ke mare me explain karne wala hoo. So “ Read Carefully”


verify adress
Verify address


Jaisa ki maine aako bataya hi ki google first payment dene se pehle aapka address verify karata hai to chaliye mai aapko batata hoo kis tarah google adsense address verify karata hai aur kya kya sharte hai .


How to Verify Address ?

 Jab aake google adsense account me 10$ ho jayege tab adsense account me ek red color ki line aayegi jisme likha hoga “ Your payment are currently on hold because You have not verified your address “  yah line tab tak aapke account me nahi aayegi jab tak aapke account me 10$ nahi available nahi honge ab aapke mind me ye sawal aa raha hoga aakhir kyon yah line 10$ se pehle nahi aayegi  to iska jawab hai google address verify karane ka charge 10$ leta hai jab to isliye yeh red line 10$ available hone ke baad hi aayegi.

verify address
action tab

Method of verify Address ?

Jab aapke account me 10$ available ho jayenge tabhi google dwara ek pin generate kiya jayega aur by post us address par send kiya jayega jo address aapne adsense account me diya hua hai to please adsense account banate samay address aur name accurate sahi de kyon jab aapki income 10 $ ho jayegi aapke paas google dware pin send kar diya jayega. Naye blogger se me jarur request karunga ki vah galat address na de kyonki isme unhi ka loss hai .

Pin Mailer Exmple ?

Jo pin aapko by post prapt hoga uski format neeche dikhai gayi hai .

verify address
inside 

verify address
outside 

When do I need to enter my pin ?

Jab aapke account me 10$  available ho jayenge tab aapko pin by post send kar diya jayega pin by post aane me 2-4 weeks or more le sakta hai ye aapki location par depand karta hai yadi aap google se thodi door hai to jaldi aa jayega warna kuch jayada time le sakta hai . lekin ek baat ka dhayan rahe pin send karne ke 4 months ke andar aapko pin verify kara dena hai yadi aa aisa nahi karte hai to aapki sites par ads shone band ho jayenge . yadi aapko 4 months tak pin receive nahi hota hai to aap dobara pin send karne ki request kar sakte ho. Iske bare me aage bataunga .

Where can I enter my pin ?

Google adsense account me jaha par red line hai wahi par uske saamne ek action button hai uss par click karna hai. Jaise hi aap action button par click karenge aake saamne iss prkar ki window open hogi .

verify address
Submit pin window

  1. most recent pin was generated – upar di gayi picrute me no.1 par vah date show hogi jis date ko pin google dwara generate kiya gaya hai.
  2. vah address jo aapne adsense account banate samay diya tha isi address par pin send kiya gaya hai
  3. yadi aap 3 time galat pin enter karte ho to google adsense dwara aapki sites par advertising service suspend kar di jayegi aur aap future me jaldi se ise use nahi kar payenge so enter pin carefully and no try any wrong pin
  4. box me prapt pin likhe aur submit pin par click kare aapka address verify ho chukka hai .




What my pin Does not arrive ?

Yadi google dwara send kiya gaya pin 2 months ke andar aapke paas tak nahi pahuchta hai to aap naye pin ke liye request kar de yadi aap 4 months tak wait karte rahe to aapki sites par ads show hone band ho jayege to pelhe hi matra 2 months me hi new pin ke liye request kar de.


What if my address is Wrong ?

Google adsense account create karte samay yadi aapne galat address diya tha ya koi mistake ho gayi thi aur google adsense ne usi address par pin send kar diya hai to aap naye pin ke liye request kar de lekin usse pehle address ko change kar le address change kaise karte hai poori jaankari ke liye yaha click kare.



Feedback

Maine iss post me Address verify ke bare me poori tarah se explain kar diya hai
Yadi kahi par aapko samajh na aayo ho to aap comment kar ke puchh sakte hai

No comments:

Write here your comment

Powered by Blogger.