Header Ads

Breaking News
recent

How to Add Blog to Google Analytics



Welcome back again on my Blog

            Blog par kaafi post karne ke baad jab blog par traffic kaafi aane lagta hai to prtyek blogger ke dimaag me yahi sawal aata hai ki use uske blog par hone wali activity ke bare me pata chalta rahe mera matlab ki kab koi user blog par aa raha hai aur kitni der blog par rah raha hai aur blog ke kaun se page ko read kar raha hai. Yadi aap bhi apne blog ki activity ke bare me jaanna chahte hai to aaj mai aapko bataunga kis tarah se aap apne blog ki activity ke bare me jaan sakte hai “ Read carefully “

link blog to google analytics
Add blog to google analytics

        Aaj mai aapko Google analytics ke bare me batane ja raha hu. Google analytics google dwara di gayi ek aisi service  hai jiske madhyam se aap ane blog par hone wali activity ko check kar sakte hai. Aapke blog par koi user kaun si country se hai , kaun si post padh raha hai , kul kitne user active hai  etc sabhi prkar ki  jaankari aapko google analytics se aasani se mil sakti hai . ab sawal uthta hai ki kis tarah se apne blog ko google analytics se link kar sakte hai to chaliye mai aapko batata hoo “ Follow my all steps “



Create Google analytics account ?


Apne blog ke data ko google analytics me show karane ke liye aapko google analytics me ek account banana hoga google analytics me account bnane ke liye aapko google analytics ki main window par aana hoga ab aapke samne sign in ka ek button hoga us par click  kare jaise hi aap sign in par click karenge tabhi aapse aapka emai id aur password puchha jayega yaha par aapko wahi email id aur password likhna hai jis par aapko blog hai jab aap log in ho jayenge google analytics ki window iss prkar aayegi.



see blog activity
Analytics Window


       Sabse upar dekhiye 4 menus diye gaye hai  “Home , Reporting , Customization , Admin ”  ab aapko ek account create karna hai jiske under aap apne blog ko analize karoge account create karne ke liye Admin  menu par click karenge ab admin menus 3 parts me open hoga “ Account , Property , View “  account me di gayi tab par click karna hai jaisa ki upar picture me dikhaya gaya hai tab par click karne ke baad create new account par click kare . jaise hi aap create new account par click karenge aapke saamne iss tarah ki window open hogi.


create google analytics account
Create account


  1. yaha par apni pasand ka account name likhe
  2. uss blog/website ka naam likhe jise aap google analytics ki madad se analize karna chahte hai
  3. yaha par blog / ya website ka url likhe.  url likhne se pehle ye check kar le ki apake blog/website ka url http se start hota hai ya https se.

Ab save par click kar ke account ko save kar le . Jab aap account ko save kar lenge aapko ek tracking id di jayegi. Is tracking id ke dwara hi aap apne blog ko google analytics me analyze kar paoge iss tracking id ko copy kar le  aapko ye tracking id apne blog me set karni hai .

How to set tracking id in blog ?


Ab aap google analytics se tracking id to prapt kar chuke hai ab baaki hai ki tracking id ko blog me set kaise karte hai . to chaliye ye bhi seekhte hai . tracking id ko blog me set karne ke liye apko apne blog  ki setting me jana hia “ Follow this Path “  Setting > Other  other setting ke meus open ho jaane ke baad sabse neeche dekhe aapke saamne iss trah ke menus honge .

link account to google analytics
Paste trackingID no.


Jaisa ki upar picture me dikhaya gaya hai ek box ke saamne Analytics web property id likha hua hai iss box me aapko tracking id no likhna hai  analytics number likhne ke baad save setting par click kare aapka blog google analytics me poori tarah se analyze ho chuka hai ab aap apne blog ki activities ko google analytics me check kar sakte ho .


Feedback



No comments:

Write here your comment

Powered by Blogger.