Header Ads

Breaking News
recent

How to do default setting for youtube videos




Welcome back agin on my Blog

     Yadi aap ek youtube partner hai aur har baar video upload karne par video description , tags likhne se pareshan aa chuke hai to mai aaj aapko batane ja raha hoo ki kis tarah se  aap  upload ki jaane wali sabhi videos ke liye already descriptin aur tags set kare sakte hai aisa karne se har baar aapko description aur tags nahi likhne honge. “ get ready for learn this topic “


Youtube videos default setting
Default setting


          Aksar aapne dekha hoga aur aapke saath bhi hota hoga ki jab bhi aap youtube par video upload karte hai tabhi aapko video description aur togs likhne hote hai . aur kyo likhne hote hai ye to aap jaante hi hai , yadi nahi jaante to mai aapko bata deta hoo , yadi aap video descriptin aur tags nahi likhenge to aapki videos search me nahi aayegi aur jab search me nahi aayegi to aap youtube se paise kaise kama paoge.lekin youtube setting me aap in sab ki default setting kar sakte hai . jab aap default setting kar denge aur nayi video upload karenge tab automatic description aur tags box me vah description aur tags fill ho jayenge jo aapne default setting me set kiye the

Default setting karne se pehle in sabhi baato ka dhyan rakhe

Abaut Descriptin


Jaisa ki aap jaante hi honge ki description me video ke bare me bataya jaata hai ki video me kis prkar ka content hai matlab kis bare me bataya gaya hai . jab aap default setting karte samay description likhenge tab aapko description iss prkar ka likhna hai ki vah sabhi video ke liye common ho jaise social media  facebook , twitter , ingstram , etc ke follow link , webstie url  , 2-4 line apne channel ke bare me likhe ye sabhi  video ke liye common hai . jab aap video upload karoge tab aap isme editing kar sakte hai .


Abaut Tags .

Same isi prkar jaise maine aapko descriptin ke bare me bataya hai . sabhi common tags  likhne hai jaise aapke channel ka naam , yadi aap computer se related video upload karte ho to computer tricks, best computer tricks , learn computer  etc aise bahut se keywords ho sakte hai ye keywords aapke apne channel ke hisaab se likhne hai .

Youtube videos ki default setting kaise karte hai ?

Step -1

Youtube videos ki default setting ke liye sabhi steps ko follow kare.

  1. youtube channel par apni gmail id se log in ho jaye.
  2. Page ke top par channel ka icon hai us par click kare
  3. creator studio par click kare.
  4. left side me likhe channel par click kare
  5. ab channel ke under kuch submenus open honge unme se default settings par click kare 

youtube videos default setting
Choose default setting


Step -2



  1. Privacy – privacy me aapko public ko choose karna hai yadi aap apni video kisi ke sath share nahi karna chahte hai to aapko private choose karna hai . lekin aap youtube se paisa kamana chahte hai to aapko publc ko hi choose karna hai
  2. Category- iske under aapko us category ko choosekarna hai jis category ka aapka channel hai. Bahut si category yaha par available hai.
  3. License – yaha par aapko youtube standard license ko choose karna hai .
  4. Title ko blank chhod de kyoki prtyek video ka title alag hota hai .
  5. common tags likhe
  6. comment and rating –yadi aap chahte hai ki koi bhi aapke video par comment kar sake to all ko choose kare warna approved ko choose kare
  7. Monetization-yadi aap chahte hai ki aap jo bhi video upload kare vah automatic monetize ho jaye to  ise check kare. Isko check karne se aapko har bar video ko monetize nahi karni padegi .
  8. Ad formats –yaha par 3 tarah ke ads diye gaye hai ,Overlay , skipable , sponsors , aapko jis prkar ke ads video par show karane hai choose kare.
  9. Ad  breaks – ek video me ek se jyada  baar ads show karne ke liye check kare isse aapki video ke beech me bhi ads show honge
  10. Video language – English ko choose kare .

youtube videos default setting
configuration

Baaki sabhi feature ko jyo ka tyo rehne de .

Channel ki default setting successfully ho chuki hai . check karne ke liye kisi video ko upload kar ke dekhe jaise hi aap kisi video ko upload karenge description , tags, monetizatin apne aap set ho jayenge aur video upload karte samay aap inme editing bhi kar sakte hai .



Feedback

Ye post aapko kaisi lagi comment kar ke jarur bataye . post me kahi par kuch samajh na aaya ho to comment ke puchh le . Internet ,seo , bloging , youtube etc ki kisi bhi prkar ki jaankari ke liye comment kare.


No comments:

Write here your comment

Powered by Blogger.