How to add subscribe Button on Youtube video
Welcome back again on my
Blog
Youtube channel ki rank ko improve karne ke liye
subscribers kitne important hai ye to aap jaante hi hoge . aaj ki iss post me
mai aapko batane ja raha hoo kis tarah se aap apne youtube channel ki videos me
subscribe button laga sakte hai . new youtubers iss post ko dhayan se padhe “
Read carefully “
Insert subscribe button |
Apne channel ki rank ko improve
karne ke liye hum na jaane kitne jatan kartehai , video ko facebok , google + ,
instagram , twitter etc par share karana ye sab normal si baate hai aur sabhi
karte hai aur aapko bhi karni chahiye . par aaj jo mai aapko batane ja raha hoo
wo different hai humare channel par jintne jyada subscribers honge channel par
utna jyada traffic aayega aur aapke channel ki visitors ki nazro me value bhi
increase hogi . sath hi aap ek baat ka dhyan jarur rakhe koi aapke channel ko
subscribe bevajah nahi karega . aapka channel tabhi subscribe kiya jayega jab
aap apne channel par kuch acchha upload karoge isliye channel par jitni bhi
video upload kare un sab me aapka talent dikhna chahiye .
Jab aap ek blog banaye to sath hi
ek youtube channel bhi bana le aur apni post se related video apne channel par
upload karte rahe taaki aapke blog ke sabhi readers ko topic ko samajhne me
aasani ho . ab maan lijiye kisi visitor ko aapki koi post ache se samajh nahi
aayi to vah video dekhkar asani se samajh sakta hai isse aapke blog aur channel
ki value aur rank dono increase hogi aur saath hi aapki income bhi double ho
jayegi ek youtube channel se aur ek blog se . to chaliye aur baat phir kabhi
karenge ab apne topic par chalte hai “ Go to the Point “
Youtube video me subscribe button lagane ke kya faayde hai ?
New visitor video ke dekhte samay
hi aapke channel ko subscribe kar sakta hai . channel subscribe karne ke liye
visitor ko aapke channel par bhi jaane ki jarurat nahi hoti hai . maan lijiye
kisi viewer ne youtube me aapki video se related video search ki aur aapki
video par aa gaya aur jab vah aapki video dekhata hai aur use video pasand aati
hai aur vaha chahta hai ki aapke channel
par jo bhi video update ho use pata chal jaye to vah video me diye gaye subscribe button par click
kar ke aapke channel ko subscribe kar sakta hai .
Recruitment
- Subscribe image internet se download kar le
- Image ki format PNG or GIF honi chahiye kisi other format me image nahi hona chahiye.
- Image transparent hona chahiye
- Image ka size maximum 1 mb or less then hona chahiye.
Youtube video me subscribe button kaise lagate hai ?
“ Follow these steps “ for add subscribe button in youtube video
- Youtube video me subscribe button lagane ke liye www.youtube.com par log in ho jaye
- My channel par click kare
- Right side me top par aapke channel ka icon aa raha hoga us par click kare jaise hi aap icon par click "karenge aapke saamne iss parkar ki window open hogi."
- Creator studio par click kare .
- Left side me diye gaye channel par click kare.
- Ab channel ke under kuch submenu open honge unme se Branding ko choose kare.
- Ab ek add watermark ka blue button aayega uss par click kare.
"Ab aapke saamne iss prkar ki
window open hogi "
.
Choose subscribe picture |
- Choose file par click kare aur uss image ko choose kare jo image aapne internet se download ki thi .
- Jab image upload ho jaye save button par click kare .
"Ab aapke saamne iss parkar ki
window open hogi ."
Example window |
Jis tarah upar picture me bottom
corner me subscribe button dikhaya gaya hai same isi tarah yah button video me
dikhai dega check karne ke liye aap apki koi video play kar ke dekh sakte hai .
Feedback
I hope aapko ye post pasand aayi
hogi yadi aapko ye post pasand aayi hai aur aapko iss post se kuch help mili
hai to please comment kar ke jarur bataye
bloging , internet , youtube ke bare me kisi bhi parkar ki jaankari ke
liye comment kare .
No comments:
Write here your comment