How to Change Youtube Channel URL
Welcome Back Again
on my Blog
Youtube channel url ko change karna bahut hi aasan
hai aur aaj mai iss post me aapko iss bare me hi batane wala hoo. Lekin usse
pehle custom url ke bare me bata doo ki iske kya faayde hai. Yadi aap ek new
youtuber hai to iss post ko dhyan se padhe .”Read Carefully”
Change url |
why faithfull a custom cahnnel URL ?
aapke channel ko visit karne wale
prtyek vyakti ko aapke channel ka url kabhi yaad nahi rah sakta kyoki by
default Url elphabate aur numbers se milkar bana hota hai for Example
– " http:/www.youtube.com/support4ever45jh54gdl75dj " iss type ka hota hai jo yaad karna
asan nahi hai yadi aapke channel ka URL kuch iss tarah ho jaise http:/www.youtube.com/support4ever
jo yaad rakhne me bahut aasan hai aur padhne me bhi ise kehte ha hum
custom url . google aapko authority di hai ki aap apne channel ka url change
kar sakte ho lekin usek liye google ne kuch sharte rakhi hai jo iss prkar hai -
- 100+ subscriber
- channel art upload kiya hona chahiye
- channel kam se kam 30 days old hona chahiye
- channel icon laga hona chahiye
Yadi upar di gayi kisi ek shart
ko bhi aapka channel poori nahi karta hai to aap channel ka url change nahi kar
sakte. Yadi aapka channel in sabhi sharto ko poora karta hai to aap channel ka
url change kar sakte hai . channel ka url kaise change karte hai ye mai aapko
batata hoo. “ follow my all Steps”
How to change youtube channel URL ?
Sign in Your
Youtube Accout apne youtube account me
sign in ho jaye . jab aap youtube channel me sign in ho jayenge top corner par
aapke gmail id ka icon aa raha hoga us par click kare jaise hi aap icon ar
click karenge aapke saamne ek small window open hogi setting gear icon par
click kare .
Configuration window |
Ab aapke saamne youtube channel
configuration window open hogi iss window me jaha par aapke channel icon hai just uske right side me advance likha hua hai aapko uss par click karna hai
jaise hi aap advance par click karnege
aapke saamne iss tarah ki window open hogi .
window 1 |
Channel setting ke just neeche 2
lines hogi -
- you are eligible for custom URL claim it here
- our custom URL system has changed Learn more
yadi aapke paas 100+ subscribers
nahi hai to channel setting ke just neeche keval “our custom URL system has changed Learn more” ye line hi aayegi jaise hi aapke paas 100+
subscribers ho jayenge 1st line automatic aapke account me aa jayegi
ab first line ke last me likhe here par click kare jaise
hi aap here par click karenge aapke saamne iss tarah ki window open hogi .
Upar picture me 2 URL dikhaye gaye hai .
1.
Youtube
channel url (youtube.com/c/study2videos)
2.
2.Google+
URL (youtube.com/c/study2videos)
In dono ke just neeche 2 Radio button diye gaye hai jinka
use alag alg hai mai in dono ko explain karta hoo.
1. study2videos
Yadi aap keval apne channel ke naam se hi url create
karna chahte hai jaise “maine apne
channel ka naam rakha hua hai youtube ke baad slace laga hai aur uske baad
channel ka naam hai “ to ise choose kare
2.study2videos add a suffix of your choosing
Isko aap tab choose karoge jab aap apne channel ka url
channel ke naam ke saath koi word ya number jodna chahte ho. For Example- mere
youtube channel ka url “ youtube.com/c/study2videos” hai lekin mai isko “youtube.com/c/study2videos123”
ye rakhna chahta hu tab aap iska use karenge . isko choose karne se aapse vah
word likhne ke liye kaha jayega jise aap apne chaanel ke url me apne channel name
ke baad me jodna chahte ho. Lekin mai aapse yahi kahunga ki aap no. 1 ko hi
choose kare kyoki ye better hai aapke channel ka url poori tarah se aapke
channel ko denot karta hai . ab change url par click kare aur choice confirm
par click kare . ab aap dekh sakte ahi ki aapke channel ka url change ho chukka
hai .
Feedback
Ye post aapko kaisi lagi comment kar k jarur bataye is post
se related yadi aapki koi query hai to aap comment kar ke pooch sakte hai .
No comments:
Write here your comment