Top 15 tips to inscrease youtube subscribers
Welcome back
again on my Blog
Youtube online earning karne ka
best way hai . youtube par video upload kar ke aap bhi paisa kama sakte hai .
iske liye youtube par ek channel banana padta hai yadi aapka channel pahle se
hai to apne channel par traffic ko increase kijiye tabhi aap kaafi paisa kama
paoge yadi aapko channel par 1000 subscribers ho aap Rs 10000 / month kama
sakte ho . aaj mai aapko top 15 aisi tricks bataunga jinki madad se aap channel
par subscribers increase kar sakoge . yadi aap bhi youtube se paisa kamana
chahte hai to humari ye post padhe How to Earn money from Youtube - Full Guide “get
ready “
Top 15 Tips |
Youtbe par na jaane kitne channel
daily banaye jaate hai par sabhi success nahi ho pate hai . uski vajah hia
youtube ki terms aur conditions ko follow na karna youtube par video upload karne se pehle aapko
bahut si baato ka dhyan rakhna hota hai yadi aap in baato ka dhayan nahi
rakhoge to aap youtub ese achhi income earn nahi kar paoge . khaas kar new
youtuber aisi galti karte hai we lagatar video upload karte jaate hai aur ye sochte
hai ki jab video kaafi ho jayegi subscribers apne aap increase ho jayege lekin
aisa bilkul bhi nahi hai video upload karne se pehle video ki configuration
karni hoti hai .
Humare channel ke liye subscriber
bahut jaruri hote hai . aur koi bhi aapke channel ko bevajah subscribe nahi
karega jab kisi viewer ko aapki video pasand aayegi tabhi vah aapke channel ko
subscribe karega aisi bahut si baato ke baar me mai aapko batane jaa raha hu jo
aapke channel ke subscribers increase karne me helpful sabit hogi .
Top 15 tips to Increase subscribers
1.Primery configuration – Primery configuration se
matlab youtbe banner , icon , channel
trailer , default setting kar le uske baad hi video upload karna shuru
kare. default setting ki adhik jaankari ke liye ye post padhe.
How to do default setting for youtube videos |
2. Video Description – prtyek video ke description ko ache se likhe ,
video description kya hai yadi aap nahi jaante to humari youtube se related
post padhe . description video rank ko increase karne me full helpful hai .
yadi aap har baar video description likhne se pareshan hai to channel ki default setting kar le .default setting karne se jo description aap default karte samay
likhoge wahi description video upload karte samaya by default video ke
description part me aa jayega .
3. Channel Trailer –channel trailer ek aisi video hai jo apne aap hi play ho
jaati hai mera matlab jab bhi koi naya visitor humare channel par visit karta
hai tabhi channel trailer automatic play ho jata hai . iska fayda kya hai ?
iska fayda tab hota hai jab aap ek aisa
channel trailer banayenge jisme aapne apne channel ke bare me bataya ho
. tabhi iska fayda hoga waise to channel ki kisi bhi video ko channel tarailer
ke rup me laga sakte hai lekin unse koi fayda nahi hoga ek aisa channel banaye
jisme aapne apne channel ke bare me bataya hoga aur channel trailer 2-3 min ka
hi banaye. For example aap mere channel ka trailer dekh sakte hai .
4. Add subscribe button in video –
Apne channel ki video me subscribe button lagaye taaki
viewer ko video pasand aane par vah aapke channel ko video ko dekhte samay hi
subscribe kar sake video me subscribe lagane ki jaankari ke liye ye post padhe
5. create 4-5 min video -
Video ko jyada duration kin
a banaye kyoki jyada log chhoti video ko hi dekhna pasand karte hai . jaise hi
ve video ko search result me dekhte hai to ve use hi choose karte hai jo kam
time ki hoti hai 3-4 min ki video medium hai lekin apko 3 min se kam ki bhi
video nahi banana hai .
6. Optimize video
description-
Jaisa ki maine ab se pehle
youtube se related post me bata chukka hu ki video description video ko rank me lane ke liye bahut jaruri
hai video description ko ache se optimize kare . aur description me jaruri link
bhi add kare.
7. Keywords in title –
Video ke title me keywords
ka use kare taaki aapki video ki rank increase ho sake aur search result me top
par aa sake keyword se related adhik jaankari ke liye ye post padhe How to find keyword for SEO
8. Create platform on social
media
Jab aapne online paisa
kamaane ki thaan hi li hai to kyo na sab kaam acche se kiye jaaye . jis naam se
aapka channel hai usi naam se social media par account banaye social media
facebook, twitte ,google + , pinterest top social media platform hai
9. Share video on social
media –
Video ko bana kar upload
karne se hi kuch nahi hota aur aise aap achhi earning bhi nahi kar paoge .
video ko upload karne ke baad video ko social media Facebook , twitter, google
+ , pinterest etc par share karna na bhoole.
10. invite your friends-
Apne dosto ko facrbook aur
whatsapp jaise social media par apne channel ko subscribe karne ke liye kahe .
lekin ek baat ka dhyan rakhe kabhi bhi apne dosto se ads par click karne ke
liye na kahe aisa karna adsense ki terms & condition ke khilaf hai . yadi
aap aisa karte hai to google adsense aapke account ko ban kar dega .
11.use subscribe button on
blog
Apne blog me youtbe channel
ka subscribe button lagaye jisse aapke blog par aane wale visitor bhi aapke
channel ko subscribe kar sake . subscribe button blog me subscribe button lagane sambandhit
jaankari ke liye ye post padhe . How to add subscribe button in Blogger
12. tell about subscribe end
in every video
Every video ke end me
subscribe karne ke lye jarur kahe . yadi viewer ko aapke channel ki video
pasand aati hai to vah aapke kehne par aapke channel ko subscribe jarur karega.
13.dont copy .
Internet se download ki gayi
kisi bhi video ko apne channel par upload na kare aisi video ko youtube
copyright manta hai aur yadi aap aisa karte hai to google adsense aapke account
ko ban kar dega. So please mai aapse yahi kahunga ki mehnat kare magar chori
nahi . aksar naye youtuber ke mind me ye aata hai ki mai kisi aur ki video apne
channel par upload kar doonga to youtube ko kya pata chalega to please apne
mind se ye galatfehmi nikal de warna kabhi adsense ka use nahi kar paoge.
14. Edit video before upload
–
Video upload karne se pehle
video ko edit kar le. Video me jaha bevajah ki bate batayi gayi ho use nikaal
de kyoki jo baate viewer ke matlab ki nahi hoti usse viewer bor hota hai .
15 focus interest –
Apne channel ke viewer ke
interest ki pehchan kar matlab ye dekhe ki aapke channel par kis topic se
related video adhik dekhi jaa rahi hai us topic par achik video banaye . yadi viewer
ke interest ko pehchan kar ke video banayenge to aap kaafi money earn kar
sakoge .
Upar batayi gayi 15 tips ko
follow kar ke aap apne channel ke subscribers increase lar sakte ho
Feedback
Yah post aapko kaisi lagi
comment kar ke jarur bataye . post se related kisi bhi prkar ki jaankari ke
liye aap comment kar sakte hai . seo , internet ,Youtube ,bloging etc ki adhik
jaankari ke liye humare blog ki sabhi post padhe kisi bhi sawal ke liye comment
jarur kare .
No comments:
Write here your comment