Header Ads

Breaking News
recent

Top 15 tips to inscrease youtube subscribers




Welcome back again on my Blog

Youtube online earning karne ka best way hai . youtube par video upload kar ke aap bhi paisa kama sakte hai . iske liye youtube par ek channel banana padta hai yadi aapka channel pahle se hai to apne channel par traffic ko increase kijiye tabhi aap kaafi paisa kama paoge yadi aapko channel par 1000 subscribers ho aap Rs 10000 / month kama sakte ho . aaj mai aapko top 15 aisi tricks bataunga jinki madad se aap channel par subscribers increase kar sakoge . yadi aap bhi youtube se paisa kamana chahte hai to humari ye post padhe    How to Earn money from Youtube - Full Guide get ready

top 15 tricks to increase subscribers
Top 15 Tips


Youtbe par na jaane kitne channel daily banaye jaate hai par sabhi success nahi ho pate hai . uski vajah hia youtube ki terms aur conditions ko follow na karna  youtube par video upload karne se pehle aapko bahut si baato ka dhyan rakhna hota hai yadi aap in baato ka dhayan nahi rakhoge to aap youtub ese achhi income earn nahi kar paoge . khaas kar new youtuber aisi galti karte hai we lagatar video upload karte jaate hai aur ye sochte hai ki jab video kaafi ho jayegi subscribers apne aap increase ho jayege lekin aisa bilkul bhi nahi hai video upload karne se pehle video ki configuration karni hoti hai .


Humare channel ke liye subscriber bahut jaruri hote hai . aur koi bhi aapke channel ko bevajah subscribe nahi karega jab kisi viewer ko aapki video pasand aayegi tabhi vah aapke channel ko subscribe karega aisi bahut si baato ke baar me mai aapko batane jaa raha hu jo aapke channel ke subscribers increase karne me helpful sabit hogi .


Top 15 tips to Increase subscribers


1.Primery  configuration – Primery configuration se matlab youtbe banner , icon ,  channel trailer , default setting  kar le uske baad hi video upload karna shuru kare. default setting ki adhik jaankari ke liye ye post padhe. 

How to do default setting for youtube videos

2. Video Description – prtyek video ke description ko ache se likhe , video description kya hai yadi aap nahi jaante to humari youtube se related post padhe . description video rank ko increase karne me full helpful hai . yadi aap har baar video description likhne se pareshan hai to channel ki default setting kar le .default setting karne se jo description aap default karte samay likhoge wahi description video upload karte samaya by default video ke description part me aa jayega .


3. Channel Trailer –channel trailer ek aisi video hai jo apne aap hi play ho jaati hai mera matlab jab bhi koi naya visitor humare channel par visit karta hai tabhi channel trailer automatic play ho jata hai . iska fayda kya hai ? iska fayda tab hota hai jab aap ek aisa  channel trailer banayenge jisme aapne apne channel ke bare me bataya ho . tabhi iska fayda hoga waise to channel ki kisi bhi video ko channel tarailer ke rup me laga sakte hai lekin unse koi fayda nahi hoga ek aisa channel banaye jisme aapne apne channel ke bare me bataya hoga aur channel trailer 2-3 min ka hi banaye. For example aap mere channel ka trailer dekh sakte hai .


4. Add subscribe button in video –
Apne channel ki video me subscribe button lagaye taaki viewer ko video pasand aane par vah aapke channel ko video ko dekhte samay hi subscribe kar sake video me subscribe lagane ki jaankari ke liye ye post padhe


5. create 4-5 min video -  
Video ko jyada duration kin a banaye kyoki jyada log chhoti video ko hi dekhna pasand karte hai . jaise hi ve video ko search result me dekhte hai to ve use hi choose karte hai jo kam time ki hoti hai 3-4 min ki video medium hai lekin apko 3 min se kam ki bhi video nahi banana hai .

·         add alexa rank widget




6. Optimize video description-
Jaisa ki maine ab se pehle youtube se related post me bata chukka hu ki video description  video ko rank me lane ke liye bahut jaruri hai video description ko ache se optimize kare . aur description me jaruri link bhi add kare.

7. Keywords in title –
Video ke title me keywords ka use kare taaki aapki video ki rank increase ho sake aur search result me top par aa sake keyword se related adhik jaankari ke liye ye post padhe How to find keyword for SEO

8. Create platform on social media
Jab aapne online paisa kamaane ki thaan hi li hai to kyo na sab kaam acche se kiye jaaye . jis naam se aapka channel hai usi naam se social media par account banaye social media facebook, twitte ,google + , pinterest top social media platform hai

9. Share video on social media –
Video ko bana kar upload karne se hi kuch nahi hota aur aise aap achhi earning bhi nahi kar paoge . video ko upload karne ke baad video ko social media Facebook , twitter, google + , pinterest etc par share karna na bhoole.


10. invite your friends-
Apne dosto ko facrbook aur whatsapp jaise social media par apne channel ko subscribe karne ke liye kahe . lekin ek baat ka dhyan rakhe kabhi bhi apne dosto se ads par click karne ke liye na kahe aisa karna adsense ki terms & condition ke khilaf hai . yadi aap aisa karte hai to google adsense aapke account ko ban kar dega .

11.use subscribe button on blog
Apne blog me youtbe channel ka subscribe button lagaye jisse aapke blog par aane wale visitor bhi aapke channel ko subscribe kar sake . subscribe button  blog me subscribe button lagane sambandhit jaankari ke liye ye post padhe . How to add subscribe button in Blogger

12. tell about subscribe end in every video
Every video ke end me subscribe karne ke lye jarur kahe . yadi viewer ko aapke channel ki video pasand aati hai to vah aapke kehne par aapke channel ko subscribe jarur karega.
·         How to add website in Google


13.dont copy .
Internet se download ki gayi kisi bhi video ko apne channel par upload na kare aisi video ko youtube copyright manta hai aur yadi aap aisa karte hai to google adsense aapke account ko ban kar dega. So please mai aapse yahi kahunga ki mehnat kare magar chori nahi . aksar naye youtuber ke mind me ye aata hai ki mai kisi aur ki video apne channel par upload kar doonga to youtube ko kya pata chalega to please apne mind se ye galatfehmi nikal de warna kabhi adsense ka use nahi kar paoge.


14. Edit video before upload –
Video upload karne se pehle video ko edit kar le. Video me jaha bevajah ki bate batayi gayi ho use nikaal de kyoki jo baate viewer ke matlab ki nahi hoti usse viewer bor hota hai .

15  focus interest –
Apne channel ke viewer ke interest ki pehchan kar matlab ye dekhe ki aapke channel par kis topic se related video adhik dekhi jaa rahi hai us topic par achik video banaye . yadi viewer ke interest ko pehchan kar ke video banayenge to aap kaafi money earn kar sakoge .

Upar batayi gayi 15 tips ko follow kar ke aap apne channel ke subscribers increase lar sakte ho



Feedback
Yah post aapko kaisi lagi comment kar ke jarur bataye . post se related kisi bhi prkar ki jaankari ke liye aap comment kar sakte hai . seo , internet ,Youtube ,bloging etc ki adhik jaankari ke liye humare blog ki sabhi post padhe kisi bhi sawal ke liye comment jarur kare .




No comments:

Write here your comment

Powered by Blogger.